Monday, May 20, 2024
HomeJurmTraffic ke naye qanoon ka asr, awam aur police mein tasadum

Traffic ke naye qanoon ka asr, awam aur police mein tasadum

Patna : Traffic ke naye qanoon ke muta-arif honay ke baad se jahan reyasti hukoomatoun ko pareshani la-haq hai wahein awam aur police ohdedaron ke darmiyan tassadum ke manazair bhi dekhnay mein aarahey hain.

Naye qanoon nafiz honay ke baad patna sameit poori riyasat mein traffic intizamia ek taraf jahan Police checking muhim mein taizi laatay hue ghair qanooni tareeqay se gadi chalarahe logon par karwai karkay jurmane ki shakal mein moti raqam wusool kar rahi hai wahein police aur awam ke darmiyan tanazeaat ki khabrein bhi lagataar jo masool horahee hain.

Patna ke exhibition road mein gadi checking ke douran log mushtael hogaye. public aur police ke darmiyan jam kar maar peet ki khabar hai. checking kar rahi Police gadi par number plate aur seat belt nahi honay par logon ne sawal khada kardiya aur kaha ke qanoon sab ke liye hai. isi baat par police aur awam ke darmiyan noke jhonk shuru hogayi.

Mushtael logon ne intahi masroof tareen exhibition road ko jam kardiya. Baad mein kisi tarhan se jam ko khatam karwaya gaya.

Wazeh rahay ke 1st September se nafiz tarmeemi motor vehicle qanoon ke baad se police intizamia ke sath hi aam log bhi chokas hain. is qanoon ki khilaaf warzi karne par bator jurmana logoun ko badi raqam ada karni padh rahi hai. jiski wajah se qanoon nah maan-ne walay mushkil mein padhgaye hain. alawa azeen transport mehakma ne apne ek bayan mein kaha hai ke riyasat mein sirf 38 feesad log hi helmet istemaal karte hain is feesad ko jald se jald badhaane ki zaroorat hai. Is hafta helmet checking par khaas tavajja di jarahi hai. –YTN STAFF