Wednesday, April 24, 2024
HomeSliderTop 10 mein shamoliat asal maqsad: Ashwini Ponnappa

Top 10 mein shamoliat asal maqsad: Ashwini Ponnappa

Hyderabad: Sitoki Siraj Rinki Reddy aur Ashwini Ponnappa  ne 2021 season ki ibtida kaafi shandar andaz mein ki hai.

Unhon ne thailand open super 1000 tournament mein pehli baar kisi bain ul aqwami tournament ke maksd double daakhil hue.

Isi zimn mein izhaar-e-khayal karte hue hue Ashwani  ne kaha ke mujhe khushi hai ke hum ne Top 20 mein jagah banali. 2019 mein hum bohat ziyada tournaments nahi khail sakay kyunkay mein zakhmi thi aur corona bohraan ki wajah se khail mutasir hua tha. Olympic mein hamari darja bandi itni achi nahi thi lekin covid-19 aur lock down ne hamein apne zakhamo se sehat yabi, mashq aur tandrusti par kaam karne ka waqt diya. Is ne hamari taweel mansoobah bandi mein madad ki hai. is se thailand mein hamaray khail mein farq para. Bangalore mein tarbiyat haasil karne wali 31 sala Ashwani  ne kaha ke is darja bandi ke maqamat ko takneeki lehaaz se Tokyo olympics mein shumaar nahi kiya jayega.

Covid-19 ne khiladion ke sabr ka imthehaan liya lekin sab ek hi kashti mein safar kar rahay thay. Mein banglore mein tarbiyat haasil kar rahi thi aur behtar mehsoos kar rahi thi lekin mein ne is daur ko khawateen ke aur maksad doubles ko mad-e-nazar rakhtay hue apne khail ke mukhtalif pehluo par kaam kiya. Mein vaqata kisi bhi tournament ke aaghaz se do hafta qabal aur saki Reddy ke sath kaam karne hyderabad aayi hon. hamari tawajah bal tarteeb mardon aur khawateen ke doubles ke liye hai. hum ne itna intezar kiya aur tournament mein behtar muzahiron ke liye be-sabar thay.

Ashwani  ne yeh aiteraaf kiya ke thailand ki yeh karkardagi aik bohat bada etemaad badhaane wala tha. Hum ne maksad doubles quarter final mein panchwin said chunn paying soon aur malaysia ke goa live young jaisay badey naamon ko shikast day di. ab behtar muzahiron ke silsila ko barqarar rakhtay hue hamara maqsad Top 10 mein jagah banana hai lekin is ke liye sakht mehnat ki zaroorat hai aur dosray tournaments mein bhi mustaqil muzahira karna hai.