Monday, May 20, 2024
HomeSliderTokyo olympics se qabal Hindustan ko dhaka, national Dope Testing laboratory mo-attal

Tokyo olympics se qabal Hindustan ko dhaka, national Dope Testing laboratory mo-attal

New Delhi: World anti doping agency ney Hindustan ki qaumi doping Testing laboratory ( NDTL ) ko aindah 6 mah ke liye mo-attal kardiya hai jo kay Hindustan ke anti doping programme ke liye ek bohat bada jhatka hai jis se ab Hindustan ko doping test ke akhrajaat mein izafah hoga.

WADA ney 2008 may NDTL ko Musalmah muaqqaf diya tha lekin ab yeh is baat ka majaz nahi rakhti ke woh khiladion ke namoonay haasil kar sakay.

NDTL par jo pabandi aed ki gayi hai iska itlaq 20 august se hoga jiski wajah se ab Hindustan ko yeh ek bada jhatka saabit ho sakta hai kyunkay Tokyo olympics ke aaghaz mein ek saal se bhi kam ka waqfa hai.

WADA ki site par jari kardah sahafti bayan mein kaha gaya hai ke hindustani Dope test laboratory par 6 mah ki pabandi is liye aed ki gayi hai kyunkay iska khiladion ke namoonay jhanchne ka miyaar WADA ki sharait ki takmeel nahi karta.

WADA ney apni tahaqeeq ke douran paaya hai ke khiladion ke jo namoonay haasil kiye jaane ke baad inhen NDTL mein jis andaaz mein jancha jata hai woh miyaar WADA ke miyaar ke mutabiq nahi hai.

NDTL khud par aed pabandi ke khilaaf khelon ki salisi adalat ney aindah 21 dinon ke douran darkhwast daakhil kar sakti hai. Indian olympic association ( IOA) ney kaha hai ke is waqt mulk is moqoof mein nahi hai ke khiladion ke haasil kardah namunoun ki jaanch ke liye inhen deegar mumalik rawana kare aur is par aed honay walay zayed akhrajaat bardasht kar sakay.

Hindustan ko ab apne khiladion ki anti doping jaanch ke liye unke namoonay WADA se Musalmah deegar mumalik ki labs ko rawana karna padega jo kay bangkok aur thailand mein hai. –YTN STAFF