Saturday, April 27, 2024
HomeSliderTokyo Olympics mein Hindustani Team ko medal ka mauqa: Sardar

Tokyo Olympics mein Hindustani Team ko medal ka mauqa: Sardar

New Delhi: Hindustani Hockey Team ke sabiq Captain sardar Singh ney kaha hai ke Hindustan ke paas aglay saal Japan ke shehar Tokyo mein munaqqid honay walay kheloun ke Olympics mein medal jeetnay ka sunehri mauqa hai. Hindustani team is waqt aalmi daraja bandi mein chouthay number par hai aur is nay guzashta qareeb 2 saal mein umdah karkardagi ka muzahira kiya hai. Tokyo Olympics meanz hockey muqaabla mein Hindustan ka pehla match 24 July ko aalmi number 8 New Zealand ke khilaaf hoga. Hindustan ki mardoun ki team ko dosray number par Australia, Olympic Champion Argentina, 9 number par Spain, 8 number par New Zealand aur Asian Games ke champion aur maizban Japan ke sath Pool A mein rakha gaya hai. Pool B Belgium, Holland, Germany, Bartania, Canada aur janoobi Africa par mushtamil hai.

Is ke baad Hindustan ka muqaabla 25 July ko Australia, 27 July ko Spain, 29 July ko Argentina aur 30 July ko Japan se hoga. Quarter final yakam August aur Simi final 3 August ko hoga jabkay Bronze aur Gold Medals ke matches 5? August ko hon ge. Hindustan ka pehla hadaf quarter final mein jagah banana hoga. Har group ki sare fehrist 4 teams quarter final mein daakhil hon gi.

Sardar ka khayaal hai ke mojooda team mein Olympic medal jeetnay ki salahiyat hai. Sardar se qabal hindustani hockey team ke sabiq tajurbahkar Goal keeper PR Sreejesh nay kaha tha ke agar team apni hi taal mein khelti hai to Tokyo Olympic kheloun mein medal haasil karne ki wajah se ye ta-attul ko toad sakta hai. Hindustan ney aakhri martaba 1980 ke Moscow Olympics mein gold medal jeeta tha lekin is ke baad Hindustan kabhi olympic podim tak nahi pouncha.

Sabiq captain ney kaha ke mein ney 314 bain ul aqwami match khailay hain lekin Olympic medal nah jeetnay ka mujhe abhi bhi ranj hai. Team ney pichlle kuch saal mein shandaar karkardagi ka muzahira kiya hai aur is saal FIH Pro Hockey league mein team ki karkardagi ko dekhte hue aisa lagta hai ke hum Olympic medal jiiten ge. Mere khayaal mein mojooda team ke paas Tokyo mein medal jeetnay ka sunehri mauqa hai.

Unhoun ney kaha ke agla saal team ke liye bohat ahem hoga aur is douran team ke paas naye khiladioun ku sikahnay ka mauqa hai. Raj Kumar, Dilpret, Vivek Sagar aur Gar Sahab jaisay nojawan khiladion ney umdah karkardagi ka muzahira kiya hai aur team coach garaham red ka un khiladioun ko baday matchoen mein test karne ka faisla bohat acha raha hai.