Wednesday, May 8, 2024
HomeSliderTokyo Olympics aindah saal tak ke liye multawi

Tokyo Olympics aindah saal tak ke liye multawi

Tokyo: Coronavirus ke baais Tokyo Olympics 2021 tak multawi kardiya gaya hai. Japan ke Wazeer e Azam Shinzo Abe aur International Olympic Committee ke leaders neh faisla kiya hai ke kheloun ke sab se baday Events ko aindah baras mausam garma tak multawi kardiya jaye. Qabal az Canada aur Australia ne Tokyo Olympics ke liye apni temen na bhejnay ka elaan kiya hai. Is inkaar ke baad Japan mein honay walay 2020 Olympics aur Paralympic  Games ke ineqad se mutaliq shukook o shubhat badh gaye they.

International Olympics Committee ne bayan diya tha ke wo 4 haftoun mein is barey mein koi faisla lenge. Qabal azeen Canada ki Committee ne International Olympics Committee, Paralympic Committee aur aalmi idaara sahet ko un Games ke ek saal tak multawi karne ka mutalba kiya tha. Japan ke Wazeer e Azam ne International Olympic Committee ke arakeen ko yaqeen dilaya ke na to johri haadsay se pehlay Tokyo ko koyi nuqsaan pouncha hai aur na hi aindah puhanche ga. Australia ne kaha ke ye wazeh hai ke un Gamews ineqad mumkin nahi ho sakay ga is wajah unhoun ne apne Athletes ko kaha hai ke wo 2021 mein honay wali Games ki tayari karen. International Olympics Committee ne kaha hai ke mojooda soorat e haal mein khiladioun ke liye tayari karna mumkin nahi. Khiladioun ko is waqt ziyada se ziyada waqt gharoun par afraad khandan ke sath guzaarna hai.

Khiladi beroun mulk Training mein bhi masroof hain. Watan wapsi mushkil hai. IOC ke mutabiq Athletes ko is waqt haqeeqat par mabni mansoobah dainay ki zaroorat hai. Khiladi aglay baras ke liye Olympics ki tayyariyan kar satke hain. Australia bhi ek baras ke liye Tokyo Olympics multawi karne ka khawahish mand hai. Japan ke wazeer e azam Shinzo Abe  ne bhi wazeh ishara diya hai ke Tokyo Olympics ko multawi karna na guzeer ho sakta hai jab ke Japani Media ke mutabiq Olympics ke muntazmeen ne mumkina mutabadil mansooboun ke baray mein ghhor o khos shuru kardi hai.

Americi sadar Donald Trump bhi Coronavirus ke khadshay pesh e nazar Tokyo Olympics multawi karne ki tajweez pesh ki thi jab ke America ke Online jareeday USI Today ki Report ke mutabiq America ke do tahai se ziyada khiladioun ki bhi yahi raye hai ke is waba ke baais Tokyo Olympics ko multawi kar dena chahiye. Wazeh rahay ke Coronavirus ke baais IPL, England aur Sri Lanka ke darmain Test Series, Australia aur New Zealand ke darmain One Day Series sameit kheloun ke kayi muqablay ab tak mansookh ho chuke hain. Tokyo Olympics ka ineqad Japan mein rawan baras 24 July se 9 August tak kiya jana hai jis ke liye Japan mein baday pemanay par intizamaa bhi kiye ja rahay they. –YTN STAFF