Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadTofani barish, Kayi amwaat, Awam ka na ahal siyasi leaders ko vote...

Tofani barish, Kayi amwaat, Awam ka na ahal siyasi leaders ko vote dainay par pachtaawa

Hyderabad: Guzashta raat Telangana mein tofani barish aur raaston ke ilawa nashebi ilaqon mein selabi soorat-e-haal ne jahan awam ko pareshan kardiya wahein shayad woh apne muntkhiba siyasi leaders ki taraf sawalia nazron se dekh rahay hain aur woh khud se hi sawal karne par majaboor hain ke kya unhoun ne un siyasi qaideen ko vote day kar is liye muntakhib kiya tha ke jab shehar aur riyasat mein aisi sangeen soorat-e-haal hojaye to awam raat bhar tofani barish se apne gharon se pani nikaalne ke liye kisi sakht jung jaisi soorat-e-haal mein masroof rahen to doosri janib siyasi leader apne aali shaan aur mehfooz mehal numa gharron mein social media par Up load honay walay videos ka nazarah Karen.

Yaad rahay ke guzashta raat Telangana ke kayi ilaaqon ke ilawa shehar Hyderabad mein huvi tofani barish se mutaliq waqeat mein 3 afraad ki mout hui hai. Pehlay waqea mein 2 afraad shehar mein shadeed barish ke douran Motorcycle par kaam kar ke ghar lout rahay they, Peerzadiguda mein ek deewar girnay se unki mout hui.

Yeh afraad jin ki shanakht Parveen aur Mohan ki hesiyat se ki gayi hai woh dono sheeshay katnay walay karkun aur Peerzadiguda ke rehaishi they aur jab yeh haadsa pesh aaya to Upal se Medipally ki taraf jarahay they. Police ke mutabiq Parveen motorcycle par sawaar tha jabkay mohan gaadi par peechay mojood tha.

Jab yeh joda Old Peerzadiguda pouncha ek ibadat gaah ki compound deewar achanak un par gir gayi aur oh is ke neechay dab gaye. Is zimn mein police ney kaha ke hamein shuba hai ke taiz barish ki wajah se deewar pani jazb kar chuki thi aur kamzor hogayi thi. Taiz huwa ke sath woh gir gayi jis ki wajah se dono ki mauqa par hi mout hogayi,

Medipally police ney muqadma darj kiya hai aur tafteesh kar rahay hain jabkay laashon ko Gandhi Hospital ke murda khanaay mein muntaqil kardiya gaya hai. Alawa azeen shaam Vikarabad zila ke  Shahpur Thanda mein ek 38 sala khatoon nadi mein doob gayi. Police nay kaha hai ke  Shahpur Thanda se talluq rakhnay wali ek zarayi mazdoor aneeta apni zarayi zameen mein kaam mukammal karne ke baad ghar wapas jarahi thi jab yeh waqea pesh aaya.

Is ka shohar aur 2 bachay waqeye mein bach gaye. Haadsa mein doob jaaney wali khatoon ki baad mein police nay laash baher nikaali aur usay khandan ke afraad ke hawalay kardiya. Hyderabad ke mutadid hisson mein mosla dhaar barish nay maloomat zindagi ko maflooj kardiya aur kayi maqamat par traffic buri tara jam dekhi gayi.