Sunday, April 28, 2024
HomeExclusiveTipu Sultan ki tareekh ko nisabi kitabon se hataya jana na qabil-e-bardasht...

Tipu Sultan ki tareekh ko nisabi kitabon se hataya jana na qabil-e-bardasht hai

Mangalore: Social Democratic Party Of India ( SDPI ) Karnataka shakha ke reyasti sadar Ilyas Mohammad ne Mangalore zilai daftar mein Press Conference se khitaab karte hue kaha ke Covid-19 waba ki wajah se Karnataka mein Tipu Sultan ki tareekh ko satwen jamaat ke nisaab kitaab se hataya gaya hai. Reyasti hukoomat ke is faislay aur iqdaam ki SDPI sakht muzammat aur mukhalifat karti hai. Riyasat ke awam reyasti hukoomat ke is terhan ke firqa waranah faislay ko qubool nahi karte hain.

Karnataka ke mehakma taleem ne Covid-19 lockdown ki wajah se School ke kaam karne ke dinon mein kami ki wajah se nisabi kitabon se kuch nisabat ko kam karne ka faisla kiya hai aur Tipu Sultan se mutaliq asbaq ko kitabon se nikaal diya gaya hai. Ilyas Mohammad Tambe ne is baat ki taraf khusoosi nishandahi karte hue kaha ke BJP kaafi arsa se Tipu Sultan ki mukhalifat kar rahi hai aur ab mojooda Covid bohraan ke tanazur mein jo halaat peda hue hain is ka reyasti hukoomat ghalat istemaal kar rahi hai.

Tipu Sultan ke asbaq ko nisabi kitabon se nikaal kar taleem ko zafrani rang dainay ke apne khufia agenday par BJP kaam kar rahi hai. Tipu Sultan ek bahadur Mujahid azaadi thay. Aab paashi mein inqilab laane walay, Duniya ka pehla mizayil mean, Babaye Rocket Technology, Mulk ke be misaal Muhib-e-Watan aur samaji hum ahangi ke masiihaa thay. Tipu nah sirf hamari riyasat balkay qoum ke liye bhi baais fakhr hain. Yahan tak ke America aur Europe mein bhi Tipu Sultan Colleges aur Universition mein mutalea ka mauzo hain. Tipu Sultan ko duniya ke mukhtalif mumalik mein ek khusoosi aizaz diya gaya hai.’ NASA’ mein Tipu Sultan ko Rocket Science mein un ki shiraakat ke liye khusoosi tor par aizaz se nawaza gaya hai. Taham, Karnataka hukoomat apni firqa waranah zehniat ki wajah se Tipu Sultan se mutaliq sabaq ka nisabi kitabon se nikaal kar Karnataka ki sarzamen aur bahaduri ki tareekh ko kala kar rahi hai.

SDPI reyasti sadar Ilyas Tambe nay ekhtataam mein kaha ke Karnataka ke awam ko ye janna hoga ke reyasti BJP hukoomat ayeen hind, Secularism aur jamhoriat waghera se mutaliq nisaab ko bhi nisabon kitabon se nikaalne ka mazmoom mansoobah banarahi hai. Hindutwa ke maan-ne walay jo ayeen hind ki tashkeel mein shareek nahi hain ab wo tareekh ko maskh karkay nojawanon ko gumraah karne ke liye mann gharat kahaniyan phela rahay hain aur Karnataka ki izzat ko pamaal kar rahay hain. Press Conference mein reyasti secretary Ashraf Majaar, Reyasti Secretariat arakeen Akram Hassan, Jallel Krishnapura aur zilai rukan Iqbal Bellary shareek rahay.