Thursday, May 9, 2024
HomeIndiaTipu Jayanti Sarkari Tor Par Na Mananay Bjp Hukoomat Ka Elaan

Tipu Jayanti Sarkari Tor Par Na Mananay Bjp Hukoomat Ka Elaan

Bangalore: Karnataka ke naye cheif minister BS Yedurappa nay 10 November se riyasat bhar mein manayi jaanay wali Tipu Jayanti taqarib nahi mananay ka faisla kiya hai. is silsila mein sarkari ehkamaat bhi jari kardiye gaye hain. karnatak ke mehakma Saqafat nay yeh ehkamaat jari kiye hain. kal munaqidah kabeena ijlaas mein liye gaye faislay ke baad aaj ehkamaat jari kiye gaye hain. Yad rahe ke riyasat karnatak mein hukoomat ki janib se jumla 23 Muaziz shakhsiyation ki yom-e-paidaiesh ki taqarib manayi jati hain. is mein har taqreeb ka ek alag maqam hai. un taqarib ke ineqad ke silsilay mein koi bhi shakhs ya tabqa kisi qisam ki rukawat ya tanqeed nahi karta hai.

wazeh rahay ke 2014 mein congress nay Tipu Jayanti manaye jaanay ki shuruvaat ki thi. har baras Tipu Jayanti ko ehtijaj aur adalti muqadmaat ka saamna rehta hai. doosri janib BJP sher Mysore Tipu Sultan ko Hindu dushman aur hindoun ke qaatil honay ka ilzaam aed karte hue Jayanti taqreeb ki mukhalifat kar rahi thi aur ab riyasat mein iqtedar hasil karne ke baad BJP nay Tipu Sultan saalgirah taqarib sarkari tour per na mananay ka faisla bazabta kardiya hai kaaf.

BJP nay kaha hai ke Tipu Sultan koi Mujahid nahi. unhon nay bohat se hinduon ko qatal kya aur mandiroun par hamlay kiye. congress. JDS hukoomat aisay shakhs ko behtar Shabeeh ke bator kyun paish karti rahi hai. yeh mehez vote bank ki siyasat hai. Yedurappa hukoomat ke is faisla ke baad ab karnatak mein siyasi mahol garam honay ka imkaan hai. karnatak mein congress ki reyasti hukoomat ki janib se mumlikat cotesbach khudadad ke hukmuran aur atharhaween sadi ke azeem badshah Tipu Sultan ke yom-e-paidaiesh 10 / November ko youme Tipu Sultan manaye jaanay ke faislay se sakht geer tanzeemon Vishwa hindu parishad, Bajrang Dal, hindu jagran aur in sab ki sarparast BJP nay jis radday-e-amal aur anaka muzahira kiya tha is nay to ghair mulki media ki nazar mein bhi mulk ki Adam rawadaar fiza aur mazhabi tanawu ke wajood ko sawal ke kathgharay mein lakar khada kardiya tha.

Isi silsilay ka ek badnuma pehlu is waqt samnay aaya jab Maroof drama nigaar giresh karnada ne reyasti hukoomat ko yeh tajweez di ke riyasat karnatak ki rajdhani banglore ke international airport ka naam tabdeel karkay Tipu Sultan ke naam se musum kiya jaye, unhon naay apni ek taqreer ke douran sach kaha ke agar Tipu Sultan musalman nah hotay to unko bhi wohi tareekhi izzat aur samman milta jo maharashtar mein shivaji ko mila hai. is tajweez nay to intehaa pasandon ko hawaas bakhta hi kardiya aur inhoun nay karnad ko bhi MM gulbargi jaisay anjaam ki dhamki day daali.

Is jashn-e-wiladat ki yeh keh kar mukhalifat shuru ki gayi ke Tipu Sultan ‘ hinduon ke tain mutasib tha, jis naay apne dor-e-hukumat mein kayi mandir tudwaye aur tabdeeli mazhab ki muhim ki sarparasti ki thi. usay mulk ki bad naseebi ke siwa kuch nahi kaha jasakta ke jis badshah naay apne doure hukmurani mein mulk ko samaan zindagi ke muamlay mein khod kafil banadiya ho, jis naay mulk ke ghareeb kisanon ko unka haq dilanay aur unhein khushaal bananay ke liye jagheer-darana barbariat ka khatema kardia ho aur Adal wo masawat aur mazhabi rawadari ke sath baahum muttahid hokar angrezoun ke daant khattay kardiye hon, isi badshah ki Shabeeh ko zuk pohanchanay, unki khidmaat ko yaksar faramosh karne aur un sab se badh kar unke tain naslِ nou mein nafrat ki tukham raizi karne ki koshish ki jarahi hai. –YTN STAFF