Friday, March 29, 2024
HomeOthersTechnologyTikTok ki terhan Facebook ka App Collab muta-arif

TikTok ki terhan Facebook ka App Collab muta-arif

New York: Tiktok ki maqboliat ke baad Facebook ki janib se ek nai App muta-arif karwai gayi hai jis ke zariye se ab awam ke mukhtasir video clips ko dobarah istemaal karkay Music takhleeq kar saken ge. Is nai App ke istemaal se social media se nat nai cheeze jaisay Tiktok se cheeze leker is se kuch naya kar saken ge.

Ye App jiska naam Collab hai aur Facebook ke naye Product Experimentation group mein mojood hai, Filhaal iPhone ke sarfeen ke liye Byte version muta-arif karwaya gaya hai. Is se sarfeen mukhtalif Instrument maslan Drums ya Guitar ya phir gana gakar 3 allag Short term videos record kar saktay hain.

Moseeqi se munsalik ye mukhtalif hissay ya jazo record karne ke baad sarif chahay to tanha ya phir kisi dost ke sath videos ko duet karkay ek gana takhleeq kar sakenge. Collab ko ek aam si video aur music editing App se jo cheez munfarid banati hai wo uska muqarara tareeqackar hai jis mein ek martaba video segment record hojaye to usay elania tor par wahan post karna zurori hai jahan se dosray loog usay dekh saken.

Sarif aisay clips ko apne geetoun mein dobarah istemaal kar saktay hain jis se ke wo ek pooray naye track ki takhleeq kar saktay hain. Facebook ne is hawalay se kaha hai ke agar is clip ko kisi aur ne apne Musical item ke liye istemaal karkay video record takhleeq kiya to uskay asal sarif ko is ka sahara melega aur usay kam az kam is ke ek asal hissay mein shaamil kiya jayega. –YTN STAFF