Monday, April 29, 2024
HomeIndiaTikTok ke zareya khawateen ko harasa karne walay 2 afraad giraftar

TikTok ke zareya khawateen ko harasa karne walay 2 afraad giraftar

Hyderabad: In dinoun nojawanoun mein TikTok video bananay ka shoq kaafi badh raha hai. Jis ke kaafi kharab nataij samnay arhay hain. Jahan TikTok bananay aur usay Viral karne ke shoq se kisi ki jaan ja rahi hai, To koi TikTok ke zareya logoun ko pareshan karne mein laga huwa hai, Aisay mein muashray mein shareef logoun ko dushwaryoun ka saamna karna pad raha hai. Aisay hi ek waqea mein Police ne TikTok ke zareya logoun ko pareshan-o-harasan karne waloun ko giraftar kar liya hai.

Tafseelaat ke mutabiq, Cyberabad Cyber Crime police ne jaali Account ke zareya TikTok video banakar ghair qanooni, Qabil aitraaz aur tauheen aamaiz tabsaray karkay khawateen ko harasan karne walay 2 mulzimaan ko giraftar kiya hai. Mulzimaan ki shanakht Ananthapur ka 30 sala Nimesh Chowdary urf  Nimesh Chimakurthy  aur Karimnagar zila mein Devi Nagar, Metpally ka 21 be rozgaar sala Aravind Patel  urf Gandla Aravind ke tor par ki gayi hai.

Police ne bataya  KPHB ki shikayat kanandah  Janardhan Devalla ne ilzaam lagaya hai ke october 2019 ke baad se mulzim Nimesh chowdari TikTok platform mein jaali account bana kar usay aur is ke dostoun ko fehash, qabil aitraaz aur tanz aamaiz andaaz mein bad sulooki kar raha hai. Mulzim ne apne dostoun ke sath milkar ” Lover Boy “ ”Perami ladke “ ke naam se whatsapp groups tashkeel diye they. Taa kay khawateen aur kisi khaas shakhs ko TikTok ke zareya harasan kiya ja sakay.

 

Pichlle dinoun bhi is TikTok ke shoq ne 2 logoun ko nokari se hi barkhwast kara diya tha, Darasal Gandhi hospital se talluq rakhnay walay 2 junior Doctors, Jis mein ek khatoon bhi shaamil thi. Un ka TikTok video Viral huwa tha, Jo faraiz se tasaheli bar te hue kaam ke waqt TikTok video bana rahay they. Is video ke Viral honay ke baad inhen khidmaat se moattal kar diya gaya tha.

Is ke ilawa, Chand mahinay qabal, Khammam Municiple corporation ke mulazmeen ki janib se bhi ek TikTok video Viral huwa tha, Jis par karwai karte hue un mulazmeen ki thankhowa kaat li gayi thi. Jabkay Hyderabad mein riyasat Telangana ke is waqt ke wazeer-e-dakhla Mahmood Ali ke pote ka bhi ek TikTok video Viral huwa tha jis par Mahmood Ali ne maffi mangi thi. Un ke ilawa aisay kayi waqeat hain jin mein nojawanoun ki janib se TikTok video bananay aur inhen Viral karne ki wajah se logoun ko, Khawateen ko aur khud video bananay waloun ko nuqsaan utha na pada hai.-YTN STAFF