Monday, April 29, 2024
HomeLatest NewsTiktok apne sarfeen se ab galliyan saaf karwayega

Tiktok apne sarfeen se ab galliyan saaf karwayega

Hyderabad : Social media par mukhtasir videos shaya karne mein sare-e-fehrist app TikTok jis par haliya dinon mein kaafi tanqeed hui hai aur kayi muqamat par is par pabandi bhi aed hui thi lekin ab is mein apne sarfeen ko ek samaji kaam mein masroof karne ke liye muhim shuru ki hai.

TikTok ne ab Hindustan mein safai ko farogh dainay ke liye ek muhim aaghaz ghair sarkari tanzeem bhoomi ke sath ishtiraaq karte hue shuru kiya hai jis ka naam ”Clean India“ rakha gaya hai jo darasal Swachh Bharat ko mazeed farogh dainay ke liye awaami taawun ke liye ki jane wali muhim hai. is muhim ke zareya TikTok ne apne sarfeen ko yeh housla day raha hai ke woh apne mehloon aur atraaf wo aknaaf mein safai ki muhim mein hissa letay hue iske videos social media par shaya karen taakay deegar sarfeen ke liye yeh Mashal-rah banay.

Is zimn mein izhar-e-khayal karte hue TikTok India ki public policy ke director ne kaha ke safai ke liye TikTok aur bhoomi ki janib se shuru kardah yeh muhim Hindustan ke 30 ahem shehroun mein 2 october tak jari rahaygi kyunkay 2 october ko 150th Gandhi Jayanti hai aur Hindusrtan mein is mauqa ke aitbaar se is muhim ko kamyaab bananay ki koshish ki jarahi hai.

Darin asna Bhoomi ke Muawin baani Dr Prahlathan ne kaha ke hamein TikTok ke sath ishtiraaq karte hue swachh Bharat muhim ka hissa honay par khushi mehsoos horahee hai kyunkay hum Hindustan ke ahem shehron mein safai ko yaqeeni bananay ke liye TikTok ke sarfeen ka taawun bhi haasil kar rahay hain aur umeed ki jarahi hai ke TikTok par mukhtasir videos bananay walay sarfeen ki tadaad hazaroun mein hai aur woh swachh Bharat muhim mein apna taawun karte hue nah sirf TikTok videos ki khwahish bhi poori kar saktay hain balkay ek samaji kaam mein bhi apna kirdaar ada kar saktay hain. –YTN STAFF