New Delhi: Supreme court Tik Tok app par pabandi se mutaliq Madras High Court ke hukum ko challenge karne wali darkhwast ki samaat 15th April ko karegi. adalat ney Tik Tok app bananay wali china ki company bite dance ki darkhwast ki samaat ke liye 15th April ki tareekh muqarrar ki.
Yaad rahay ke Madras High Court ki Madurai bench nay 3th April ko is app ke zareya fehash aur ghair munasib mawaad faraham kiye jaany par tashweesh ka izhaar karte hue markaz ko Tik Tok par pabandi aed karne ki hidaayat di thi. jisay app company nay adalat mein challenge kiya hai.
High court naay media ko Tik Tok se banai gayi Video clip Nashar nah karne ki hidaayat di hai. app ke zareya sarfeen chhootey video banatay hain aur unko shaya karte hain. is app ke zareya noujawan ladke aur ladkiya ghair akhlaqi harkaat record karne ke alawa aur jo mann mein aaya banadiya ke asaas par video bnarhe hain jo kay akhlaqi qadron aur hindustani tahazeeb ko badnaam karne mein apna rule ada kar rahay hain . YTN STAFF