Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadTik Tok ka Hyderabad may markaz qaim karne ka elaan

Tik Tok ka Hyderabad may markaz qaim karne ka elaan

Hyderabad: Social Media aur mukhtasir Video banane wali cheeni app Tik Tok ne Hyderabad may ek mukammal markaz ke qiyam ka elaan kiya hai. yahan Hindustan Joy Digital Entertainment Fisteval ke Influencer Con Event may pesh kardah ek Presentation may Tik Tok ke numaindoun ne kaha ke Hyderabad may daftar kholne ke mansoobay ka maqsad pooray mulk may tezi se badhatay hue sarifeen ko behtar kaam faraham karna hai. Ek martaba is markaz ke qiyam ke baad Tik Tok take Facebook, Google aur Micorsoft jaisay mutadid deegar companiyoun may shaamil hoga jin ke Hyderabad may marakaz qaim hain.

Hindustan may 2018 may shuru ki gayi mukhtasir Video Sharing app mulk may khaas tor par Delhi ilaqoun may kaafi maqbool hai. is app ka sirf Hindustan may 100 Million se ziyada sarifeen hain jis ne usay bohat hi qaleel arsay mai maqbuliyat dilwai hai. Is ke numaindoun ne is baat ke barey may kaha ke tafrehi mawaad ke sath jis terhan se khane, kheil aur hosla afzai ki anwaa ko Hindustan may bhi ziyada maang haasil hai wo mawaad baday pemane par tayyar kiya jata hai.

Team ne ye bhi kaha ke unke app ke bohat saaray sarifeen ya to pehli martaba Social Media sarifeen hain ya wo loog is rujhan may nee hain. Tik Tok par kisi bhi mawaad ke liye pasand, zamray bandi ya aur koi takneeki umoor ki zaroorat nahi hai. ek numainday ne kaha is may Video Shooting aur tarmeem karne walay Tools pehli baar istemaal karne sarifeen ke liye asan aur qabil rasai sahoolat faraham karte hain, Jis se ye pooray Hindustan ke chhootay chhootay shehroun aur dihatoun may maqbool hogaya hai. Hyderabad may is ke markaz ke qiyam se neye mawaqay peda hone ki umeed ki jarahi hai. –YTN STAFF