Thursday, May 16, 2024
HomeIndiaTijaarat mein haail rukawaton ko daur karne America ka Hindustan se mutelba

Tijaarat mein haail rukawaton ko daur karne America ka Hindustan se mutelba

New Delhi: America ney apne Wazeer e Kharja Mike Pompeo ke Wazeer e Azam Narndra Modi aur Wazeer e Kharja S Jaishankar se ahem mulaqaat se pehlay mazboot do Tarfah wasee taluqaat par zor dete huwe kaha hai ke donald Trump intezamia ki dili khwahish hai ke Hindustan, tijaarti rukavaton ko kam kere aur ghair janibdaar aur bahami tijaarat ki taraf bardey. Yaad rahay ke Pompeo Hindustan ke teen roza doray par kal raat yahan puhanche.

Amrici hukoomat ney is darmain bayan jari kar te huwe kaha ke Trump intezamia yeh yakeeni bananey ki simt mein kaam kar raha hai ke Hindustan mein kaam kar rahi Amrici Companiyon ko wohi saholaten aur mawaqay miley jo Hindustani Companiyon ko America mein mil rahi hain. Agar Hindustan tijaarti rukavaton ko kam karkay munsifana aur bahami karobari rukh ki taraf bardta hai to hamaray tijaarti taluqaat mein behtareen izafah aur Alla miyaar ke rozgaar jaissa ke Wazeer e Azam Narendra Modi chahtay hain is ki takhleeq ke laa mehdood imkanaat hain. Amrici hukoomat ney is bayan se yeh saaf karne ki koshish ki hai ke Hindustan ke sath tijaarat par is ka rukh bohat misbet hai aur woh kaarobar aur roos ke sath hathyaar muahiday se peda honay walay tanazuath ko khatam karne ka haami hai.

Pompeo aur S Jaishankar ke darmain mulaqaat ko kaafi ahem qaraar diya ja raha hai kyun kay is mein dehshatgardi, Afghanistan se mutaliq masail, Iran America kasheedgi, Hindustan aur America ke darmain tijaarat ke muamlay, Indo Pacific khitta aur deegar mamlaat par misbet paish Raft ka imkaan hai. Pompeo ke teen roza doray ko intahi ahem qarar dete huwe S Jaishankar ney pehlay hi kaha hai ke America aur Iran ke darmain mojooda halaat mein Hindustan apne qaumi mafaad ki buniyaad par hi koi muaqqaf ikhtiyar kere ga. Hindustan ke America. Iran dono se achay taluqaat hain aur un ke darmain kasheedgi un kuch mushkil bain al aqwami masail mein se aik hai jo Hindustan ke samnay hain.

Wazeer e Kharja ney kaha ke Pompeo ka dora intahi ahem hai unhon ne America ke sath Hindustan ke kaarobar Tax se mutaliq tanaza ke barey mein pouchye jane par kaha ke is terha ke tanaza kabhi kabhi peda ho jatay hain, lekin safartkari ka takaza hai ke dono Mulk aisi baton ke hal ko dhoonday jo dono ke liye faida mand ho. Amrici Wazeer e Kharja Mike Pompeo ney Wazeer e Azam Narendra Modi se mulaqaat kar ke dotrafh masail par baat cheet ki.

Sarkari zaraye ke mutabiq is douran dono rehnumao ke darmain bahami masail par bamani guft o shaneed huwi. Modi ke dobarah Iqtidaar ki baag dor sanbhalne ke baad yeh un ki pehla ahem aur Alla sathe ijlaas raha jab ke Mike Pompeo Hindustan ke teen roza dora par kal raat yahan puhanche jabkay America ki tanazur mein qaumi jamhoori ittehaad ke zabardast aksariyat se dobarah Iqtidaar mein anay ko bain al aqwami forum par ehtram ki nazron se dekha ja raha hai aur mana ja raha hai ke Mulk ki taiz taraqqi ke liye Hindustan hosla mandana qadam utha sakta hai.