New Delhi:
Hindustan bhar mein is waqt jahan nafrat, taasub aur firqa waranah mahol ko
garma jaraha hai un tamam halaat mein ek khabar Hindustan ki ganga jamuni tahazeeb
ke liye khush aaind bhi hai jis ne mulk mein hindu muslim ittehaad ke liye ek nayi raah hamwar ki hai aur yeh khabar kisi
siyasi jamaat ya Shahi gharanoun se nahi balkay jail se aa rahi hai jahan 150
se zayed hindu qaidi ki saza kaatnay ke sath mah-e-mubarak Ramadan mein apne
muslim doston ka sath dainay ke liye rozay ka ehtimaam kar rahay hain. Hindustan
times ki khabar ke mutabiq Tihar jail mein 150 se ziyada hindu qaidi roza rakh
rahay hain. Tihar jail ke hukkaam ne kaha hai ke guzashta saal ki bah nisbat is
saal jail mein Zordaar hindu qaidiyoun ki tadaad mein izafah hua hai .
Tihar jail ke Superintendent ke mutabiq guzashta
saal jail mein hindu rozay daaron ki tadaad 59 thi lekin is saal is tadaad mein
3 gina izafah hua hai aur May ke pehlay haftay mein Tihar jail mein roza
rakhnay walay hinuds ki tadaad 150 tak pohanch chuki hai. yeh sirf Tihar jail
ka hi ek waqea nahi hai balkay Hindustan
bhar mein mukhtalif jail khaanoon mein hindu qaidiyoun ne apne jail superintendent
ko mutala kiya hai ke woh apne musalman doston ke sath izhaar yakjahti ke liye
roza rakhna chahtay hain. Tihar ke mukhtalif jailon mein jab jail superintendent
ne apne hindu aur muslim qaidiyoun ke liye roza ke ehtimaam ke liye sehri aur iftaar
ka intizam karna shuru kya to yeh tadaad 16,665 hogayi jis mein kam az kam
hindu roza daaron ki tadaad 2,658 record ki jarahi hai .
Hindu qaidiyoun ki janib se roza ka ihtimaam karne ki
mukhtalif wajohaat jail hukkaam ne batayi hain. jail hukkaam ke mutabiq roza ka
ihtimaam karne walay aksar hinduon nr muslim doston ke sath izhaar yakjahti ko
bunyadi wajah qarar di hai. shayad yeh is haqeeqat ka izhaar nahi karna chahtay
ke woh qaid khanaay mein mazhab se qareeb hosakay hain aur Rohani sukoon
chahtay hain. jail hukaam ke mutabiq qaid ki saza ke aaghaz ke sath hi 80 taa
90 feesad qaidi mazhabi umor ki anjaam dahi mein ziyada dilchaspi lainay lagey
hain aur unke is bartav aur tabdeeli ke baais aman mein misbet paish qadmi hui
hai jis ke baad unki sazaon ki muddat bhi kam karte hue inhen jald rihayi bhi
mil jati hai .
Jail mein hinduo ke Ramadaan ul mubarak mein
rozay rakhnay ke alawa aisi hi khabrain Hindustan bhar ki jailon se aarahi ke
mauqa par bhi aati hain jab kayi muslim qaidi apne hindu sathiyon ke sath roza
rakhnay ko tarjeeh dete hain aur yeh rujhaan sirf Tihar jail mein hi nahi hai
balkay Hindustan bhar ki mukhtalif jailon mein parwan chadh raha hai .
Jailon mein mah ramadaan ul mubarak mein muslim qaidiyoun ke
sath hinduo ka bhi roza rakhna aur jail hukkaam ki janib se iftaar mein
khajoron ke sath rooh afzaa faraham karne ke alawa baaz maqamat par bahar se
Hufaz ka intizam karte hue namaz taraweeh ka bhi ihtimaam karna hindu muslim
ittehaad ka ek Aala tareen namona hai
jabkay jail ki canteens mein iftaar mein istemaal honay wali ashiya ka bhi
stock faraham kiya ja raha hai .
Jail ki chaar deewari mein bohat kuch hota hai ba-hasiat
shehri hamara yeh bhi farz hai ke jail ki chaar dewaron ke darmain jin afraad
ko masail ka saamna karna padraha hai aur woh ghair zaruri pareshaniyon ki
wajah se zehni tanao ka shikaar ho rahay hain aur inhen yeh gham bhi deemak ki
tarhan khaye jata hai ke jab jail se unki rihayi hogi to samaaj kis tarhan
inhen qubool kere ga kyunkay ek janib
inhen samaaj ke bartav ki wajah se zehni pareshani la-haq hoti hai to doosri
janib hamaray nizaam mein mojood khamion ki wajah se jo takheer hoti hai is se
un qaidiyoun ke sabar ka pemana labraiz hojata hai .
Jail aur qaidiyoun ke masail kaafi tashweesh
naak aur sangeen hotay hain. is taraf tavajja nahi di jati halaanke 2003 mein
insani haqooq ke qaumi commission ke chairman justice AS Anand ne jailon mein
gunjaish se ziyada qaidiyoun aur deegar sangeen masail ki simt tavajja mabzol
karwai thi. justice AS Anand ne aitraaf kiya tha ke yeh badi dard naak haqeeqat
hai ke 75 feesad se ziyada jo qaidi jail mein hain woh Zaire dariyaft hain is ke alawa ek dard naak haqeeqat yeh bhi hai ke aisay Zaire
dariyaft qaidiyoun ki bhi ek badi tadaad jailon mein zamanat ke bawajood
hunooz muqeed hai kyunkay un ke paas zamanat ke liye ada karne ke liye raqam
nahi hai. algaraz jahan jail mein hindu muslim ittehaad ka muzahira kiya ja
raha hai to jail ke bahar hum azad shehrion ka yeh farz hai ke qaidiyoun ki
rihayi ke liye apni zakat aur khairaat ka istemaal karen taakay azaadi se kayi
cheharon par haqeeqi khushee bikhar sakay.
–YTN STAFF