Friday, May 3, 2024
HomeIndiaTiffin Centers par Idly Dosa ki jagah Tamatar Aalo farokht honay lagey

Tiffin Centers par Idly Dosa ki jagah Tamatar Aalo farokht honay lagey

Hyderabad: Coronavirus ke qehar aur Hindustan ke Wazeer e Azam Narendra Modi ki janib se guzashta raat qoum se khitaab karte huve Hindustan ko aglay 21 dinoun tak Lockdown karne ke elaan ke baad Hindustan ke dihatoun aur shehroun mein zindagi ki tasweer ek dam badal chuki hai. Hindustan mein Coronavirus ke mareezoun ki tadaad musalsal bhadne ke sath is se mutasir honay walay afraad ki tadaad mein mazeed izafay ka khadsha paaya ja raha hai jis ki wajah se Hindustan mein 21 dinoun ka Lockdown kar diya gaya hai lekin is ka raast assar yomiya zindagi par pad raha hai jis se ghareeb awam kaafi mutasir ho rahay hain.

Jab halaat mamool ke mutabiq they tu sheher ki galiyoun mein jagah jagah Idly, Dosa aur Wada ki bandiya aur nashtay ke marakaz dikhayi dete they lekin ab un hi marakaz par tarkariyan farokht ho rahi hain. Raat ki Curfew ke baad jab subah awam ko raahat di gayi to ek kaseer tadaad sadkoun par ashya ye zarooria kharid te aur farokht karti hoti huvi dikhayi di. Sadkoun par Autos mein tarkari ki muntaqili ke manzar ke alawa Idly Dosa ke marakaz par tarkari farokht honay lagi hain.

Is zimn mein Media numainda se izhaar khayaal karte huve Balaji Tiffin Center ke Ramesh ne kaha ke hukoomat ki janib se ye pabandi ayed kardi gayi hai. Nashtay mein Idly Dosa farokht karne par pabandi hai aur ye hukum diya gaya hai Idly Dosa ki bajaye hum apne Tiffin Center par tarkari farokht karen. Balaji Tiffin Center ke mulk Rakesh ne kaha ke tarkarioun ki qeemat mein izafay ke bawajood ye ashyae zarooria hain aur hukoomat ka bhi hi hukum hai ke ab hum Lockdown ke douran nashtay ki farokht ke liye Idly Dosa farokht nahi kar saktay jis ke baad aamdani ka zareya ab band hochuka hai lehaza is ka mutabadil ikhtiyar karna bhi zurori tha jis ke baad hum ne apne Tiffin Center par tarkari farokht karne ka faisla kiya hai.

Aam dinoun mein Balaji Tiffin Center ke Board par Idly Dosa Wada aur poori ki qeematein darj hoti then ab isi Board par tamator 30 Rupay kilo, Aalo 50 Rupay Kilo, Karela 30 rupay Kilo, Hari Mirch, Shimlaa Mirch aur deegar tarkariyan ki qeematein darj hain. Coronavirus aur Lockdown ki wajah se na sirf zindagi badal chuki hai balkay kal tak jis Board par kuch aur tehreer hota tha aaj is Board par kuch aur tehreer hai. –YTN STAFF