London : Bartanwi wazeer-e-azam Theresa may nay apni elaan kardah tareekh ke mutabiq Conservative Partyki sarbarahi se istifa day diya. report ke mutabiq Bartanwi wazeer-e-azam Theresa may naye sadar ke intikhab taq wizarat-e-Uzma ke ohday par barqarar rahengi jo July ke aakhir mein muntakhib honge lekin woh Europi union se Bartania ki alehadgi ( Brexit ) ke muamlay par faislay ka ikhtiyar nahi rakhtin .
Brexit ke liye 31 october ki tareekh tey ki gayi hai lekin Europi union se alehadgi se mutaliq kiya gaya moahida Bartanwi parliment mein ta haal iltiwa ka shikaar hai. khayaal rahay ke 24 May ko Theresa may nay intehai jazbati andaaz mein elaan kiya tha ke woh 7 June ko wazeer-e-azam aur hukmuran jamaat Conservative aur unionist party ki rehnuma ke ohday se mustafi hojaiengi .
Theresa may nay 10 Downing street mein khitaab karte hue kaha tha ke mein 7 June baroz jummay ko Conservative aur unionist party ki qiyadat se mustafi hojaongi taakay nai qiyadat ko muntakhib kiya jasakay. Conservative jamaat ke 11 arakeen parliment party qiyadat ke intikhab ki daudh mein shaamil hain, jin mein sabiq wazeer-e-kharja bors johnson bhi shaamil hain jinhein ek mazboot umeed waar qarar diya ja raha hai. taham un 11 mein se baaz arakeen ke 10 June ko namzadgi ki muddat mukammal honay se qabal dastbardar honay ka imkaan hai .
Party qiyadat ke liye muntakhib honay walay shakhs ke paas is faislay ke liye chand mah honge ke woh ya to theresa may ke mansoobay ko hal karen, Brexit mein mazeed takheer karen ya phir Bartania ke qareebi tijarti shiraakat daar Europi union se baghair kisi muahiday ke alehda ho jaien jis se dono ke darmiyan kasheedgi ke imkanaat hain .
Wazeh rahay ke 2016 mein Bartania mein honay walay haerat angaiz referendum mein Bartanwi awam nay Europi union se ikhraj ke haq mein vote diya tha jis ke baad tey kiya gaya tha 29 March 2019 ko Bartania , Europi union se alehadgi ikhtiyar karlega. July 2016 ko Wazeer-e-Azam ban’nay wali Theresa may nay Brexit muahiday par awaami faislay ko amli jama pehnanay ka wada kiya tha lekin shadeed mukhalfat ke baad se inhen mushkilaat ka saamna hai aur woh arakeen-e-parliment ko mananay ki koshish kar rahi hain ke woh ikhraj ke muahiday ko qubool karlen . –YTN STAFF