Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaThali Bajane ya Moom-Batti jalane se Coronavirus ka hal nahi niklega: Rahul...

Thali Bajane ya Moom-Batti jalane se Coronavirus ka hal nahi niklega: Rahul Gandhi

New Delhi: Congress ke sabiq sadar Rahul Gandhi ne hafte ke roz Wazeer-e-azam Narendra Modi ke bayan per radd-e-amal karte hue kaha ke diya “Moom-batti, diya jalane ye torch ki roshni lagane se Coronavirus ka hal nahi hoga.

Rahul Gandhi ne apne tweet may kaha ke ‘Hindustan mehaz coronavirus se ladne ke liye kaafi aazmaish nahi kar raha hai, Moom-batti, diya jalane ya torch ki roshni chamkane se is masley ka hal nahi nikalne wala hai.

Unhoun ne apne tweet may ek chart ko pesh karte hue mazeed kaha ke ‘Hindustan may sirf 29 afraad fee million jaanch kar raha hai, jabke Pakistan 67 afraad fee million, Sri Lanka 97, UK 1,891, Germany 5,812,Italy 7,122 aur South Korea 7,622 fee million test kar raha hai.

Modi ke teesri khoum se khitaab may logoun se appeal ki hai ke wo 5th april baroz itwaar raat 9 baje apne gharoun ki lights band kardein, aur 9 minute ke liye ek diya ya moom batti ya apne phones ki torch ko roshan karein.

Haft ke roz Hindustan may coronavirus ke cases ki tadaad 2902 hogayi, jis may 68 amwaat huein. –YTN STAFF