Thailand ke purisraar gharon mein gum honay wali bachon ki football team aur in ke coach ka tahaal kuch pata na chal saka aur un ke zindah rehne ke imkanaat waqt guzarnay ke sath sath maand padte jarahay hain. Aik hafta se zayed waqt guzarnay ke baad bhi Thai janglaat ke darmiyan mojood un garoon mein gumshudaa bachon ka koi suraagh nai mil saka. doosri janib bachao o operation ke liye America aur Bartania ke baad Australia ney bhi mahireen ka aik dasta Thai land bhaij diya hai. muqami hakkaam ka kehna hai ke garoon mein pani ki satah kam honay ke baad talash ka kaam mazeed taiz kardiya gaya hai. wazeh rahay Thai land mein under 16 football team ke 12 khiladi apne coach ke hamrah sair o tafreeh ki gharz se aik ghaar mein gaye they, jis ka dahana shadeed barish ke baad pani ney band kar diya. ittila mlitay hi imdadi teamon ney karwai shuru kar di thi, rescue hakkaam ka kehna hai ke ghaar taq pounchanay ke liye kisi aur rasta ki talaash mein hain taham khiladion ke zaati istemaal ka kuch samaan ghaar ke dhanay se mil gaya hai. Suba Chiang Rai mein jahan Luang ghaar waqay hain wahan ke Governor Narongsak Osottanakorn ney aaj akhbaari numaindon ko bataya ke Thai Navy ki Rescue Team ke arkaan aik dahana ke bilkul qareeb pahonch gaye hain jahan samjha jata hai ke gumshudaa khiladion ney pana le rakhi hai. pani mein phansay hue un khiladion taq pounchanay ke liye ghouta Khor musalsal koshisho mein lagey hue hain. unhon ney kaha ke ghaar se inhen nikaal lainay ke baad un ke takhlia aur qareebi hospital muntaqil karne aur tibbi imdaad baham pohanchanay ka mukammal mansoobah tayyar rakha gaya hai. jadou garon ki aik team bhi ghaar mein phansay khiladion ka pata laganay hakkaam ki madad ko pahonch chuke hain magar woh bhi kuch kehnay ke muaqqaf mein nai hain.