Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsTexas Mein Firing, America Ki Dakhli Security Intizamaa Par Sawalia Nishaan

Texas Mein Firing, America Ki Dakhli Security Intizamaa Par Sawalia Nishaan

Washington : Duniya ko dehshat gardi se pak karne ka naam leker Iraq, Afghanistan, shaam aur duniya ke deegar mumalik aur khittoun mein jungi halaat paeda karne walay America ko khud apne ghar mein apni awam ko dehshat gardi aura aye din firing ke masail ka saamna hai aur sadar Donald trump ko ab apni hi awam ki apne hi ghar mein hifazat ka challenge darpaish hai kyunkay ab American riyasat Texas firing waqea ne American ki dakhli hifazati intizamaa par sawalia nishaan laga diya hai.

American riyasat Texas mein firing ke waqea mein kam az kam 20 afraad halaak hogaye. muqami police ke mutabiq firing ka waqea alpaso ke shopping complex mein waqay walmart mein paish aaya. Texas ke governor greg abbot ne press conference mein tafseelaat batatay hue kaha ke firing ke waqea mein kam azkam 20 afraad halaak aur aur 26 zakhmi hue.

Texas ke governor ne is waqea ko’ Texas ki tareekh ka mohlik tareen din qarar diya hai. hukkaam ne ek 21 sala shakhs ko hirasat mein liya hai aur jiske baray mein khayaal zahir kiya ja raha ke woh wahid gun mein hai. police tarjuman ne tasdeeq ki ke mushtaba hamla aawar zair hirasat hai. American media mein is ki shanakht 21 sala patrick ke tor par ki gayi hai. is se qabal alpaso ke mayor ne kaha ke teen mushtaba afraad ko hirasat mein liya gaya hai.

Sadar Trump ne Texas firing ko buzdilana kaam qarar diya aur kaha ke masoom logon ke qatal ka koi juwaz nahi ho sakta. Trump ne apne Tweet mein kaha ke aaj Alpaso Texas ke firing ka waqea nah sirf alamnaak hai balkay yeh ek buzdilana feel bhi hai. mein jaanta hai ke mein is mulk mein har ek ke sath is nafrat angaiz feel ki muzammat karta hon. koi bhi wajah ya bahana kabhi bhi masoom logon ke qatal ka jawaz nahi ban sakta.

Police department ke tarjuman ne ek bayan mein kaha ke firing ke mutasireen mein mutadid afraad shaamil hain. ibtidayi it-tila-aat jo samnay aayi hain iske mutabiq hamla aawar ne firing mein rifle ka istemaal kiya lekin yeh baat hatmi nahi hai. firing mein mutasirah afraad ko jis dawakhana mein shareek kiya gaya hai is ke zaraye ne kaha 22 zakhmiyoun ko deal soul medical center laya gaya hai jin mein bachay shaamil hain.

Texas police walmart store par firing ke waqea ki tafteesh mumkina nafrat angaiz jurm ke tor par kar rahi hai. Firing karne walay 21 sala shakhs ne firing ke baad walmart store ke bahar apne aap ko police ke hawalay kar diya. Alpaso ke police chief grag Alan ne media se kaha ke is waqt police firing karne walay shakhs se ek manshoor baramad kiya hai jo-ke kisi had tak is ka talluq nafrat angaiz jaraim se jorta hai. American media ke mutabiq walmart ke mulazmeen aur Aini shahideen ne bataya ke unhon ne firing ki aawazian sunen jis ke baad walmart mein afratafri mach gayi. Customers aur mulazmeen jaan bachanay ki koshish mein bhaag rahay thay.
Ek  Aini Shahid ne bataya walmart mein daakhil hua to kam az kam das fire sunay. Ek udhair Umar aurat ko farsh par giray dekha. yaqeen se nahi keh sakta usay goli lagi thi ya nahi. White House ke deputy press secretary ne ek bayan mein kaha ke sadar trmp ko alpaso mein firing ke waqea se mutaliq tafseelaat se aagah kardiya gaya. sorat-e-haal ki musalsal nighdasht kar rahay hain. saddar Trump ne attorny general aur Texas ke governor se bhi rabita kiya hai.

American sadar Donald trump ne tweet ki ke alpaso mein qatal-e-aam ka khofnaak waqea paish aaya hai. wahan se bohat buri khabrain aa rahi hain. unhon ne likha ke bohat se log maaray gay hain. riyasat, muqami hukkaam aur qanoon nafiz karne wale idaron ke sath kaam kar rahay hain. governor se baat karkay inhen wifaq ki mukammal himayat ke liye kaha hai. –YTN STAFF