Hyderabad : Naye taleemi saal ka aaghaz hue chand din hi din hue hain aur talba ke bastoun se nai kitaboun ki khusbhu bhi khatam nahi hui hai lekin doosri janib walidain ko khangi schooloun ki fees ke tareeqa-car nay pareshan kar diya hai aur ab to aalam hochuka hai ke baaz khangi schooloun nay term fees waqt se pehlay ada karne ki hidaayat di hai aur muqarara tareekh tak ada nah karne ki soorat mein baaz schooloun nay rozana 500 rupay jurmana aur baaz schooloun nay fees ki adaigi mein takheer per hazaar rupay jurmana ada karne ki shart wazeh kar di hai.
Jabkay baaz schools aisay bhi hain jinhoun nay fees ada nah karne ki soorat mein muqarara aakhri tareekh ke baad rozana 20 rupay jurmane ke sath fees usool karne ka tareeqa-car ikhtiyar kar rakha hai. yahi nahi balkay term fees ki adaigi ke liye bhi aisa tareeqa-car ikhtiyar kiya gaya hai jo walidain ke liye zayed maali bojh ban raha hai kyunkay school intezamia nay wazeh kar diya hai ke ke term fees ada karne ke liye zaroori nahi ke term mukammal ho balkay term ke aaghaz par hi fees ada kar deni hogi.
Schooloun mein term fees ke liye teen terms diye jatay hain jo ke June, September aur decemeber ke mahinay mein ada shudni hoti hai lekin khangi school intezamia nay walidain ko hidaayat deydi hai ke woh term fees term ke aaghaz se qabal hi ada kar dein. Shehar-e-hyderabad ke kayi schooloun mein zair-e-taleem talba ke walidain nay istafsaar kiya hai ke school intezamia aakhir kyun term fees ko mahana adayigi ki asaas par wusool nahi karta kyunkay mahana fees ki adaigi ka tareeqa-car un par zayed maali bojh ko to kam nahi karega lekin thodi thodi raqam ada karna unkay liye kisi qader aasan hoga.
Hyderabad school parrents association ( HSPA) ke rukan Ashish nay kaha hai ke school intezamia ki janib se term fees June, September aur decemeber mein wusool ki jati hain lekin walidain ko term fees ki adaigi mein sahoolat to di nahi jarahi hai balkay ke sitam baalaye sitam inhen aakhri tareekh tak fees ada na karne ki soorat mein bhaari jurmane ada karne par rahay hain.
Tirupati rao Committee nay khangi schooloun mein fees ki usuli ko bazabta bananay aur ek tareeqa-car raaij karne ki sifarish ki thi lekin arbab majaz ki janib se is zimn mein koi iqdamaat nahi kiye gay. jin schoolon mein behtar taleem aur infrastructure moujood hai unka apna ek roab hai jo yeh kehte hain ke Aala taleemi miyaar ko barqarar rakhnay ke liye liye yeh sharait zaroori hain. Ek janib jahan talba bhaari bastoun ka rozana bojh utha kar school anay jaanay mein pareshani ka saamna kar rahay hain to wohi fees ke naam par walidain ki jaib par aisa boojh dala jara raha hai ke woh muashi aur zehni pareshani mein mubtala ho rahay hain. is ke alawa paisa pani ki tarhan bahanay ke bawajood un bachon mein taleemi miyaar buland nahi ho raha hai balkay woh school aur iske baad ke chand ghantay bhi mazdooroun ki tarhan mehnat kar rahay hain. –YTN STAFF