Friday, May 17, 2024
HomeSliderTennis mein Match Fixing, Kayi naamwar khiladioun ki giraftari

Tennis mein Match Fixing, Kayi naamwar khiladioun ki giraftari

Berlin: Germany mein ek mashhoor Tennis star ko giraftar kiya gaya hai, Ye giraftari match fixing ki tehqiqaat ke douran ki gayi hai, Jis Tennis star ko giraftar kiya gaya is ka shumaar Tennis ki aalmi darja bandi mein sare fehrist 30 khiladioun mein hota hai. Is baat ka inkishaaf Roosi khabar rasan idaryarty ne kiya hai.

Khabar rasan idaray ke mutabiq Europi Union ke mulk Germany Tennis ki match fixing ke hawalay se aala satah par tehqiqaat kar raha hai, Hakkaam ko yaqeen hai ke is fixing scandal mein 135 khiladi shaamil hain. Germany Tennis fixing ki tehqiqaat kar raha hai jis mein shuba kiya ja raha hai is mein  Armenian mafia ka bada group shaamil ho sakta hai, Giraftar kiye gaye Tennis star ke barey mein kaha ja raha hai ke is ne darjanoun khetabat bhi jeetay hain. German media ke mutabiq tehqiqaat ko ek saal se zayed ho gaya hai, Is douran Belgium, Spain, France aur America sameit deegar mumulik mein bhi karwai ki gayi.

Belgium mein deputy  prosecutor  general Eric Bisschop ne kaha hai ke jis group ke khilaaf tehqiqaat ki ja rahi hai is ka talluq Armenian mafia hai jo match fixing ke hawalay se bohat bada group hai is ke punjay Europe sameit baday mumulik mein bhi hain. Argentinian ke khiladi Nicolas Kicker, jin ke barey mein kaha jata hai unhoun ne ITF ke match fixing ke muamlay par aagah kiya tha ounu ne kaha hai ke itna kehna chahta hon ke fixing chhootay pemanay par nahi balkay baday pemanay par hui hai, Jin ke barey mein shuba hai wo Tennis ke 50 behtareen aalmi khiladi hain.

Ilawa azeen Tennis Integrity Unit ne rawan saal ke douran taqreeban 20 khiladioun par pabandi lagai hai, Un mein mard sameit khawateen khiladi bhi shaamil hain. Yaad rahay ke rawan saal January ke douran Spain ki police ne aisay 15 afraad ko giraftar kiya tha jin ka talluq Aramenian gang se tha aur wo fixing mein mulawis they. Giraftar honay waloun mein ek Spain ka khiladi tha, Jis ka naam Marc Fornell-Mestres hai jabkay is waqt 80 ke qareeb loog zair tafteesh hain. German khabar rasan idaray ke mutabiq ek saal se zayed arsay tak jari rehne wali tafteesh ka nateejah aindah chand mah ke douran nikal anay ka imkaan hai. –YTN STAFF