Hyderabad : Telugu filmoun ke mashoor comedian wo adakara Venu Madhav ka shehar ke khangi hospital mein Dehant hogaya.
Wo gurday ki beemari ka shikaar they. 39 sala noujawan adakar Venu Madhav, nay 150 se zayed filmoun mein adakari ki thi, aur apni mazahiya adakari se Telugu film beeno ko Mahzooz kiya tha.
Zaraye ke mutabiq, Venu Madhav 2 haftoun se shehar ke ”Yashod Hospital“ mein zair-e-ilaaj they aur inhen itwaar ke roz discharge kar diya gaya tha. mubayyana tor para naye gurday ki pewand kaari ka mashwara diya gaya tha. Itwar ko inhen discharge karne ke baad unki haalat kharab hogayi, aur inhen mangal ke roz unke ahal-e-khanah inhen Intensive Care Unit legay. Chaharshambe ko 12 bajkar 20 minute ke qareeb unka Dehant hogaya.
Suryapet mein paeda hue Venu Madhav nay apne filmi career ka aaghaz bator Mimicry artist kiya tha. unhon nay 1996 may bani film ” Samapradayam se apni adakari ki shuruvaat ki. Madhav nay mutadid Telugu filmoun mein kaam kiya. jin mein Master”, “Tholi Prema”, “Nuvve Nuvve”, “Yuvaraju”, “Dil”, aceSimhadri” aur “Arya hain. Madhav nay kuch arse ke liye siyasat mein bhi qadam rakha aur intikhabaat mein unhon nay TDP ke liye muhim chalaye thi. –YTN STAFF