Thursday, March 28, 2024
HomeJurmTelugu Desam leader swami ka din dahadhe qatal

Telugu Desam leader swami ka din dahadhe qatal

Jangaon: Telugu Desam party (TDP ) ke rehnuma aur sabiq councilor puli swami ko jumeraat ke roz yahan warangal shahrah par social welfare rehaishi school ke qareeb do namaloom hamla awaron ne ghaat lagaakar mout ke ghaat utaar diya.

Siyasi leader 53 sala puli swami subah ki chehal qadmi ke liye gaye thay jab motorcycle par sawaar hamla awaron ne un par kulhadihyon se hamla kardiya jis se woh mauqa par hi halaak hogaye.

Media se guftagu karte hue ACP vinod kumar ne kaha ke inhen shuba hai ke zameen ka tanaza -swami ke qatal ka sabab bana hai. Unhon ne kaha ke hamein kuch wazeh suraagh mil gaya hai aur jald hi hamla awaron ko pakedliya jayega. Unhon ne kaha ke qatilon ki giraftari ke liye khusoosi temen tashkeel di gayi hain.

Hamla aawar qatal ki jagah par apni motocycle chodh kar faraar hogaye, kyunkay yeh -swami ko maarne ke baad gaadi par is liye faraar nahi hosakay kyunkay ain waqt mein gaadi start nahi hopayi thi. Police gaadi ke maalik ka suraagh laganay ki koshish kar rahi hai aur inhen yaqeen hai ke qaatil jald hi pakdae jayenge. Kaha jata hai ke ek muqami adalat ne guzashta roz ek araazi tanaza mein faisla sunaya tha jis mein -swami mulawis thay.