Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadTelangana secretariat Masajids ka inahadam Ulema e ikram aur Asaduddin Owaisi ke...

Telangana secretariat Masajids ka inahadam Ulema e ikram aur Asaduddin Owaisi ke mazammat

Hyderabad: Electronic media aur akhbaari it-tila-aat ke mutabiq Secretariat ki taamer-e-nou ke pas manzar mein Masjid dafatir motamadi aur Masjid-e-hashmi ko hukoomat ki janib se shaheed kardenay ka ilmnaak aur dil aazar aur ghair dastoori waqai tamam musalmanoun ke liye be-had takleef da aur ranj wo sadma ka baais hai. Is waqea se Musalman hukoomat se shadeed naraaz aur sitam ke aalam mein hain.

Masajid ke baare may islami tasawur hai ke ye Barah-e-raast Allah tala ki milkiyat may hojati hai aur Qayamat tak ke liye uski haisiyat Allah ke ghar ki hoti hai. ‘Khud Musalman bhi iski haisiyat badalna chahe to nahi badal sakte’.

Masjid ka inahdam Musalmanoun ke bunyadi aqeede ke khilaaf hai,  Is waqiye ne jahan musalmanoun ko gehra sadma pohanchaya hai, wahin telangana ke Chief minister KCR jo apne aap ko secular qaayed batate aaye hai un par se musalmanoun ka Etemaad bhi Mutalzal hogaya hai. Is liye hukumat se humara Mutalba hai ke fouri tour per usi jagah un dono Masajid ki taameer-e-nou ka intezam kare.

Musalmanoun ke liye ye baat hargiz qaabil-e-qabool nahi hosakti kisi aur muqaam per masjid taameer ki jaaye.

Barister Asaduddin Owaisi Sadr-E-Majlis Wo Rukn-E-Parliament Hyderabad, Moulana Syed Shah Ali Akbar Nizam Uddin Hussaini Sabri Ameer Jamia Nizamia, Moulana Mufti Khaleel Ahmed, Moulana Syed Mohammed Qubool Baadshah Qadri Shattari, Janab Akbar Uddin Owaisi, Moulana Mohammed Raheem Uddin Ansari, Moulana Shah Mohammed Jamal Ur Rahman, Moulana Mufti Syed Sadiq Muhi Uddin , Moulana Khalid Saif Ullah Rahmani, Moulana Hamid Mohammed Khan, Moulana Hafiz Peer Shabbir Ahmed, Moulana Mufti Mohammed Ghayas Uddin Rahmani, Moulana Mohammed Hussam Uddin Sani Jaafar Pasha, Moulana Syed Shah Zaheer Uddin Ali Soofi , Janab Ziya Uddin, Moulana Safi Ahmed Madani, Moulana Dr Syed Nisaar Hussain Hyder Agha, Moulana Syed Masood Hussain Aur Janab Syed Muneer Uddin Ahmed Mukhtaar Ne Kaha Ke Agar Hukumat Ne Is Silsile May Bila Taakhir Munasib Iqdaam Nahi Kiya To Musalman Sakht Ahtejaaj Per Majboor Hojainge.

Ulama-Mashaeq aur qayedeen ne riyasati waqf board ki ghaflat ko bhi shadeed ka nishana banaya. Secretariat ki dono Masajid Darje-e-registered auqaaf aur sarkari gazette notification may bhi shamil hai. Gazette alamiya Number 26-c1 morkha 1st july 1982 ke tehat serial number 158 may darj hai.

Gazette ke mutabiq Masjid dafatir motamadi ka raqba 647.7 hai. Waqf board ko chahye tha ke wo waqf Act 1995 ke tehat dono masajid ke tahafuz ko yaqeeni banaye, lekin Waqf board masajid ke tahafuz may naakaam hogayaa hai.

Ulama-mashaeq aur qayedeen ne kaha ke hukumat ko ikhtiyar nahi ke wo Masajid ko munahdam kare, agar awami maqsad ke liye ye zaroori tha to waqf board se ijazat lekar aur aaidah waheen per Masajid banane ka waada karke proceeding jaari karte. Lekin waqf board ko etemaad may liye baghari usi muqaam per masajid ki dobara taamer ki proceeding ki ajraayi ke baghair masajid ka inahadam ghair qaanooni hai.

Sadar Nasheen Waqf board ki zimmedari thi wo masajid tahafuz karte kyun ke wo waqf board ke nigraan hai, lekin waqf board ne allah ke gharoun ki hifazat may kotahi se kaam liya hai, waqf obard khwab-e-ghaflat se bedaar hojaye.