Hyderabad: Telangana hukoomat nay naye secretariat Complex ki taamer ke liye 400 Crore rupay manzoor kiye. Mehakma amarat-shoara ki janib se jald hi intizami manzoori di jaye gi aur hukkaam androon ek ya do din tenders ka aalamia jari karen ge. Aala ohdedaron nay Chennai ke Architects Oscar aur Ponni se mulaqaat ki. Reyasti kabeena nay budh ko naye secretariat Complex ki tamir ki leye hari jhandi dekha di thi.
Wazeer-e-aala K Chandrashekhar Rao ne hidayat di ke is baat ko yakeeni banaya jaye ke naye secretariat ki imarat mein tamam sahuliyaat dastyab hon. Unhoun ne kaha ke wuzra ke Chambers, Chief secretary ke chambers ke sath sath hukoomat ke musheeron ke chambers mein bhi tamam asri sahuliyaat hon. Unhoun ne tajweez pesh ki thi ke khana khanay ke liye Dinning Tables, Meetings ke liye meeting hall, Visiter Rooms, har floor ke liye parking ki sahuliyaat bhi faraham ki jayen. Wazeh rahay ke reyasti hukoomat ne asri sahuliyaat se lais secretariat ki taamer ke liye qadeem secretariat ki imaarton ko munhadim kardiya.
Ye emiratein Nizam daur hukoomat ki theen. Hyderabad riyasat ke sath sath mutahidda AP ke kayi wazraye aala ne apna nazam-o-wansaq un imaarton se chalaya. KCR ki zair-e-qayadat TRS hukoomat chahti hai ke un ki jagah nai emiratein taamer ki jayen jis ke liye high court ki janib se hari jhandi dekhayi jane ke baad hukoomat ne anhdami shuru ki thi. Un nai imaarton ki taamer par 400 crore rupay ka sarfh ayed hoga.