Hyderabad: Sadak haadsa mein zakhmi sahafi ki mout hogayi. Un ke arkaan khandan ke mutabiq Telangana ke zila Adilabad ke Mavala mandal se talluq rakhnay walay 51 sala Buchanna jummay ki shab apni bike par ghar wapas ho rahay they ke unhoun ne Ramnagar ke qareeb apni bike ka tawazun kho diya jis ke nateeja mein wo gir pade. Un ko behtar ilaaj ke liye Maharashtra ke Wardha muntaqil kiya gaya kyunkay un ke sar par shadid zakham aagaye they jahan ilaaj ke douran un ki mout hogayi.
Un ki aakhri rasomaat paiir ko anjaam di jayen gi kyunkay laash ka corona muaina karna zurori hai. Un ke pasmandgan mein ahliya ke ilawa 2 dukhtran shaamil hain. Sahafi Buchanna ki mout par sahafioun ki tanzeem TUWJ ney gehray dukh ka izhaar kiya. Union ke zila sadar bhi Ramesh, General secretary Lakshmipuram Raju, Naib sadar Anwar, Treasurer Shanam Praveen aur deegar ney un ke arkaan khandan se taaziyat ka izhaar kiya.