Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsTelangana RTC ne hadtaali mulazmeen se baat cheet ka kiya aaghaz

Telangana RTC ne hadtaali mulazmeen se baat cheet ka kiya aaghaz

Hyderabad : Telangana road tansport corporation ( TSRTC ) ke mulazmeen ki ghair muayana muddat ki hartaal hafte ke roz 22 win din mein daakhil ho gayi. Corporation intizamia ney hadtaal ko rukwane ke liye mulazmeen se baat cheet shuru kar di hai. Telngana High Court ki hidaayat par amal karte hue, TSRTC ney hafte ki subah mulazmeen union ki joint action committee ( JAC ) ko talabb kiya hai. jo apne mukhtalif mutalibaat ki yaksoi ke liye dabao daalnay ke liye hadtaal kar rahay hain. dopehar mein is had taal ko rukwane ke liye baat cheet shuru hui .

Hukoomat ney chaharshumbe ke roz mulazmeen ke mutalibaat ( RTC ko hukoomat mein zam karne ke mutalbe ke baghair ) par ghaor karne ke liye TSRTC ke ohdedaron ki aik committee tashkeel di thi, committee ney jummay ke aakhir mein apni Report hukoomat ko paish ki. wazeer aala ke Chandar shekhr rao nay wazeer transport P Ajay kumar aur ohdedaron se is report par tabadlah khayaal kiya. is mulaqaat mein hi wazeer aala ney TSRTC ko hidaayat ki ke woh JAC rehnumao ko baat cheet ke liye madoo karen .

JAC  Convenor  Ashwathama  reddy ney pehlay kaha tha ke tamam mutalibaat par baat cheet ki jaye gi. unhon ney Corporation ke Inzimam ka iradah tark karne se inkaar kiya. guzashta haftay high court ney hukoomat ko hadtaali mulazmeen se baat cheet karne ki hidaayat ki thi. taqreeban 50, 000 hazaar RTC mulazmeen ki hadtaal paanch October ko Shuru hui thi, lekin hukoomat ney is hadtaal ko ghair qanooni qarar day diya aur mulazmeen se baat cheet karne se inkaar kar diya tha . wazeer aala ne paanch ا October ki shaam dead line ki miyad khatam honay ke baad elaan kiya tha ke sirf 1200 mulazmeen hi mulazmat par baqi hain. aurKCR ne 48000 se zayed mulazmeen ko dead line ki miyad khatam honay se pehlay khidmaat par wapas nah laotney par mulazmat se Bar taraf kardiya. aur yeh kaha tha ke earzi mulazmeen ki madad se baseen chalayein ge .

KCR ke mulazmeen ko Bartaraf karne ke bawajood mulazmeen ne yeh hadtaal jaari rakhi hai aur yeh ab 22 win din mein daakhil ho gayi hai. aur is hadtaal ki oppostion jamaaton ne bhar poor himayat ki hai jis se hartaal ne naya mood ikhtiyar kar liya hai. aur mulazmeen ki JAC ki janib se riyasat bhar mein ehtajaji muzahiray kiye ja rahay hain .
mazkurah hadtaal ke douran do mulazmeen ne khud kashi kar li, jabkay kuch deegar afrad mulazmat se Bar tarfi aur mah September ki tankhwahein nah milnay ke baais afsurdagi ke aalam mein dil ke daora padne se faot ho gaye. jumaraat ko wazeer aala ne kaha tha ke TSRTC ke paas mulazmeen ki

tankhwahin dainay ke liye raqam nahi hai, aur unhon ney yeh taq kahe diya ke Corporation band ho chuki hai. is ke liye unhon ney mulazmeen union ke rehnumao ko moorad e ilzaam thahraya. ab TSRTC ney mulazmeen union ke JAC rehnumao se baat cheet ki shuruvaat ki hai dekhte hain is ka kya nateeja samnay aata hai .