Thursday, May 2, 2024
HomeLatest NewsTelangana riyasat ne qaumi satah par ”Swach Darpan Program“ may pehla maqam...

Telangana riyasat ne qaumi satah par ”Swach Darpan Program“ may pehla maqam haasil kiya

Hyderabad : Wazeer-e-panchayat raj Errabelli Dayaker Rao ke mutabiq, Telangana riyasat neh qaumi satah par ”Swach darpan program“ mein pehla maqam haasil kiya hai aur 6 azlaa neh inamaat jeetay hain. wazeer ne ohdedaron, arkaan parliment, arkaan-e-assembly, muqami rehnumao ki janib se Swach darpan programme ko kamyaab bananay aur qaumi satah par mutadid inamaat jeetnay par unki sarahana ki hai.

Unhon neh bataya ke markaz ke ek surway se yeh inkishaaf hua hai ke Telangana riyasat is scheme mein pehlay number par aayi hai aur iske 6 azlaa ne behtareen karkardagi dikhayi hai. wazeer ne wazeer-e-aala K Chandra Shekhar rao ki khaweshoun ko saraha, jo ray is baat ko yaqeeni bananay mein lagey hue hain ke dehati log taamer shuda bait ul khala taamer karen aur saaf suthray mahol ko Bar qarar rakhen.

Dayakar Rao ne kaha ”Markaz ke zariyr surway ke teesray marhala mein riyasat Telangana reyaston ki fehrist mein sir fehrist rahi. hamein is par fakhr hai.

Unhon ne bataya ke markazi wizarat aabi wasail ne is surway ki tafseelaat zahir ki hain. unhon neh bataya ke surway kiye gaye 700 izla mein 8 azlaa ko pehla darjah mila hai, jis mein sirf riyasat-e-Telangana ke 6 azlaa shaamil hain.

Unhon neh kaha ”Yeh ek bohat badi kamyabi hai aur hum Swach Telangana aur Haritha haram ke dehatoun mein beydaari paeda karne aur khulay mein rafaa haajat karne se garaiz kar ke bait ul khala ke istemaal ke liye mazeed iqdamaat karenge.

Jo 6 azlaa inaam haasil kiye hain un mein Warangal Urban, Jagtiyal, kama reddy, pedda pally, Rajanna Srisaila aur kareem nagar shaamil hain. programme ke tehat, zila ne Bait ul khala, tamirati dekh bhaal aur istemaal, aur deegar mein behtar karkardagi dikhayi. –YTN STAFF