Hyderabad : Telangana pradesh congress committee TPCC ke tarjuman wo filmi hidaayat kar Bandla Ganesh ne aaj congress party aur apne ohday se istifa day diya. Ganesh ne apne official Twitter handle Per istefa ka elaan kiya .
Bandla ganesh ne apne istifa nama mein kaha ke woh zaati wujohaat ki wajah se party se istifa day rahay hain. unhoun ne party sadar Rahul Gandhi aur TPCC sadar Uttam kumar Reddy ko party ki khidmat karne ka mauqa faraham karne le liye shukriya ada kiya. unhoun ne yeh bhi wazeh kiya ke woh ab kisi siyasi party se nahi judinge .
Ek aur Tweet mein, Bandla ganesh ne un logon se maffi mangi, jinhein un ki janib se kisi bhi tarha ki kee gayi tanqidoun se takleef pohanchi ho. unhon ne un sabhi se dil se maaf karne ki appeal ki .- YTN STAFF