Saturday, October 5, 2024
HomeLatest NewsTelangana par lockdown ke baadal awaam ko khuub gaflat se bedar hona...

Telangana par lockdown ke baadal awaam ko khuub gaflat se bedar hona zaroori

Hindustan me chand dino se corona ke naye mamlat me teezi se izafa horaha hai aur ab toh 50000 se ziyada naye manlat samne arahe hai. Is waqt Hindustan me Maharashtra me sab se ziyada mutasir riyasat hai aur is riyasat me kahi muqamaat par raat ka curfew nafis karne ke awala lockdown ke amkanat ko bhi mustadar nahi kiya ja raha hai. In halat me Telangana CM K. Chandrashekar Rao ne assembly me kaha ke riyasat me lockdown nahi horaha hai. CM KCR ke is ailaan ke baad awaam ne rahat ki saans li lakin iska ye hargiz ye matlab nahi hai ke Telangana me raat ka curfew shadid mutasir elaqo ke darje bandi aur in elaqo me amdo rafat ki pabandi ke alawa lockdown ho he nai sakta.

Hyderabad awaam agar is kushfime me mutela hai ke Telangana me raat ka curfew ya lockdown hohe nahi sakta toh inhe apni soch badalni ki zaroorat hai kyuke kisi bhi waqt mamuli se lekar saqti pabandiya ayat ki ja sakti hai kyuke CM KCR kne assembly me jo bayan diya hai ke Telangana me lockdown nahi ho raha hai toh iska srif mtlb ye hai ke maujoooda surate haal behtar hai isliye lockdown ka koie mansuuba nahi ho raha hai lakin ye fisala ainda chand dino me badal bhi sakta hai CM KCR ka bayaan aur awaam ki laparwahi ek sikkhe ke do rukh hai. Riyasat ko maujuda surat haal itmeenan baksh hai kyuke is waqt Telangana me srif 500 ke aas pass naye mamlaat darj horahe hai isliye CM KCR lockdown ke qadsha ko mustadar kardiya hai lockdown na lagne ki baat kahi hai aur ainda chand dino me naye maamlat ki tadaad 500 ki bajaye 5000 hojaye toh kya Telangana me lockdown ya raat ki curfew nahi lagega ? is sawal ka jawab hoga, haan! jab corona ke maamlat me teezi se izafa hoga toh phir lockdown ke qadsha ko mustadar kardiya jayega.

ALSO READ:Gandhi Hospital mein ghair corona amraaz ke ilaaj ko mehdood karne par ghoor

Telangana me corona ke mamlaat me izafa me shaddi qadsha maujood hai kyuke bazaaro, mazhabi muqamaat aur charminar ke daman me aur phir hujume muqamat par corona quwaid par pabandi nahi ho rahi hai aur awaam ki janib se laparwahi badhti jaa rahi hai.

qudishta roz jummah ki namaaz duran dono shehro ke takreer har masjid me 95 fisad ziyada awaam ne mask ka istemal nahi kiya hai jabke samaji fasale bohot pehle he qatam kardiya gaya hai alawaa itwaar ko shabe barat aur peer ko iholi ka tohar hai indino me awaam ki atehat se halat kharab hone ka inkaar kiya nahi ja sakta hai ab jab Hindustan bhar me corona ke mamalat me teezi se isafa ho raha hai toh Telangana ke qaas shehar Hyderabad aur Secundarabad ki awaam ko mask ,samaji fasale aur sanitizer ka istemaal karte hue na srif khud ku intehadi toor par mehfoos rakhna hoga balke itehadi takbeer se lockdown aur raat ke curfew niyani faas ke qadsha ko bhi khatam karna hoga agar awaam etehadi takbeer iqtiyaar nahi karegi toh phir ane wale hafto me Hyderabad ki sadke aur bazaar phir ek martaba firan hojainge.