Saturday, May 4, 2024
HomeSliderTelangana mein taleemi idaroun ko 31 March tak tatilat

Telangana mein taleemi idaroun ko 31 March tak tatilat

Hyderabad: China se shuru hokar saari duniya ko apni lapet mein lainay walay Coronavirus ke phelao ke khilaaf hakoomaten kayi ek iqdamaat kar rahi hain jis mein khaas kar taleemi idaroun, Cinema Halls aur awaami maqamat ko band kardiya ja raha hai aur ab Telangana hukoomat ne bhi Coronavirus ke phelao ke khilaaf ahteyati iqdamaat uthaye hain. Hukoomat ne rawan mah 31 tareekh tak riyasat bharke taleemi idaroun mein tatilat ka elaan kardiya hai. Taleemi idaray, Theatre aur Shopping Malls is mahinay ke aakhir tak band rahen ge. Telangana ke Chief Minister KCR ki ziresadarat aala satah ka ijlaas Assembly ke Committee Hall mein huva. Ijlaas mein faisla liya gaya hai ke Post Graduate imthanat apne Programme ke mutabiq hon ke jis ke ehkamaat jari kardiye gaye hain.

Alawa azeen Hyderabad mein Coronavirus ke dosray muamlay ki tasdeeq hogayi hai. Is se Telangana mein mohlik Virus se mutasirah afraad ki jumla tadaad 2 hugayi hai. Mutasirah mareez Italy ka safar kar chuka tha ab mareez ko Quarantine maqsad ke liye shehar ke sarkari Gandhi Hospital mein daakhil karwaya gaya hai. Virus ki mushtaba alamaat ke haamil 2 deegar afraad ke namoonay Pune mein National Institute of Virology ( NIV ) ko beje gaye hain. –YTN STAFF