Friday, April 19, 2024
HomeSliderTelangana mein Schools ki kushadgi, talba ka hujhoom, walidain ke cheharon par...

Telangana mein Schools ki kushadgi, talba ka hujhoom, walidain ke cheharon par khushi aur khauf ayaan

Hyderabad: Riyasat-e-Telangana mein aaj se schoolon ki kushadgi amal mein aayi hai jis ke sath hi subah ke auqaat mein ghuma ghami mein izafah honay ke alawa traffic mein bhi izafah dekha gaya hai jabkay taqreeban 10 mahke ke ehsasat bhi numaya nazar aaye to dosray janib kayi Schools ke samnay apne bachon kar leker anay walay walidain ke cheharon par umeed aur khauf ke miley jalay asraat zahir ho rahay thay.

Coronavirus ki wajah se mulk bhar mein lock down ke baad schoolon ko march se hi band kardiya gaya tha jis ke baad naye taleemi saal ke liye online classes ka aaghaz kiya gaya tha aur talba ghar par hi apni taleem ko jari rakhnay ke alawa woh rawan taleemi saal ke douran taqreeban nisaab ko online hi mukammal karliya hai aur aaj se woh apni school ki imarat ki taraf rawan dawaan nazar aaye jiske wajah se schoolon ke qareeb talba aur avlyaye talba ka hujhoom dekha gaya.

Riyasat-e-Telangana mein coronavirus ke halaat par qaboo pani aur vaccine ke ejaad ke baad aaj se schoolon ki kushadgi amal mein aayi hai aur yeh naveen jamaat ke baad se agay ke taleemi class ke liye hai jab ke collegeon aur university ki bhi am aaj se mein aayi hai. Is mauqa par gali mehloun ke schoolon ke alawa shehar ke badey schoolon ke samnay bhi talba ka hujhoom dekha gaya aur ek arsay ke baad school aur jamaat ke sathiyon se mulaqaat ke baad talba ke cheharon par khushi ke asraat wazeh nazar aarahe to  dossri janib auliya talba ke chehroun per anjana khouf bhi th

Media numainday se khayaal karte hue walidain ne kaha ke inhen ek janib schoolon ki kushadgi se zindagi mamool ki taraf anay ki khushi hai to doosri janib corona ki wajah se hum mein ek qisam ka khauf bhi paaya jata hai kyunke ek arase ke baad tamam talba phir ek martaba jamatoun may jama horahae hai, jis se coronavirus se mutasir hone ke khadshab bhi moujood hai.

School ki janib se tamam tar ahteyati iqdamaat kiye jarahay hain jis mein talba ke darmiyan faasla, sanitisers ka istemaal aur talba ke darja-e-hararat ka muaina waghera shaamil hai.

Mehakma Taleem ki janib se pehlay hi schoolon mein corona se hifazat ke liye ahteyati tadabeer aur sharait ko nafiz karne ki sakht hidaayat di gayi hai to doosri janib school intizamia ki janib se se kamrah jamaat ke alawa har muqam per corona se hifazat ke behtar intezamat ko yaqeeni banaya jaraha hai.

Bohot se schools may pehle haft eke liye sirf aadhe din ka school muqarar kiya gaya hai, jiske baad aainda hafte se naveen aur dasween  jamat ke liye mukammal school din ke nizam ul amal ko nafiz kiya jayega.