Monday, April 29, 2024
HomeIndiaTelangana mein schools ki kushadgi ki tayyariyan mukammal, walidain ki badi tadaad...

Telangana mein schools ki kushadgi ki tayyariyan mukammal, walidain ki badi tadaad bhi bachon ko rawana karne tayyar

Hyderabad: Ghayr-maa’mooli 10 mah ke waqfay ke baad schoolon ki dobarah kushadgi mein mehez chaar din baqi reh gaye hain aur riyasat mein taleem ke ohdedar is baat ka yaqeen karne ke liye waqt ke sath daud laga rahay hain ke koi kasar baqi nah rahay aur tamam ahteyati tadabeer ko yakeeni banaya jaye. Wazeer taleem P sabitha Indra reddy jinhon ne zilai taleemi ohdedar aur district intermediate education ohdedaron se mulakaatein kee jiske baad kaha ke taqreeban 60 feesad walidain jab 1st feb ko schools ki kushadgi amal mein aayegi to woh apne bachon ko school bhejnay ke liye razamandi day chuke hain.

Is baat ka iada karte hue ke bachon ke liye jismani haazri laazmi qarar dainay ke koi usool nahi hain, wazeer ne kaha ke taham walidain ki razamandi se hi talba ko school mein dakhlay ki ijazat hogi.

Talba walidain ki razamandi ke mutabiq online classon aur jismani class ke darmiyan kisi ka bhi intikhab kar saktay hain.

Unhon ne kaha ke tamam talba ki class rooms mein daakhil honay se pehlay thermal screening ki jayegi, Jo baqaidagi se sanitsers kiye jayengi. chunkay nisaab ka 70 feesad hissa mukammal ho chuka hai jis par wazeer ne ohdedaron se kaha ke woh baqi nisaab mukammal karne ke alawa talba ke shukook wo shubhat par bhi tawajah den. Unhon ne kaha ke chunkay lakhoon talba ki jismani classon mein dakhlay ki tawaqqa ki jarahi hai lehaza walidain mein etemaad paeda karne ke liye covid-19 ke hifazati iqdamaat par sakhti se amal karna zaroori hai taakay woh apne bachon ko bila jhijhak school rawana kar saken.

Sabitha reddy ne mazeed kaha kay azlaa mein taleemi idaron ka kaam district level education monitoring cometion ke paas hai, jinke liye action plan tashkeel dainay aur is par amal daraamad ki nigrani karna hogi. unhon ne mazeed kaha ke baad mein ohdedaron ko hidaayat di hai ke tamam hifazati aur ahteyati tadabeer ke baad mid-day khanay ke liye taaza chawal kaaf aur deegar ashya khareedain. Unhon ne ohdedaron se yeh bhi kaha ke woh is baat ko yakeeni banayen ke tamam khangi taleemi idaray hifazati Hidayat par sakhti se amal karen. Unhon ne kaha ke baldeati idaron ko schoolon mein safai ke kamon ko anjaam dainay ke liye pehlay hi kaha gaya hai.

Ohdedaron ko hidaayat di gayi hai ke woh aaindah SSC imtehanaat ke liye talba ke etemaad izafay ke liye iqdamaat shuru karen.