Hyderabad: Coronavirus ki wabai bemari ne duniya ko ek badey muashi bohraan mein ghasita hai. Wabai amraaz ki wajah se mukhtalif shobay tabah kin mutasir hue hain un mein se sayahat ki sanat numaya tor par mutasir hai kyunkay duniya lockdown mein rehne par majboor hai. Taham sayahati maqamat aur tafreehi marakaz jo haftay ke ekhtataam aur aam tatilat ke douran shehrion ke liye ahem maqamat hotay hain ab Telangana bhar ke awam ke liye pehli pasand ban chuke hain.
Tareekhi maqamat, ajaaeb gharoun, qalaon aur deegar tafreehi marakaz jaisay sayaho ke maqamat ko 1st october se apne kaam dobarah shuru karne ki ijazat di gayi thi jis ke baad Telangana mein sayahat ka shoba phir se sargaram hogaya hai. Hyderabad aur uskay atraaf bohat saaray virsa ki yadgaron, mehlaat, parkon aur ajaaeb gharon aur deegar sayaho ke maqamat hain yahan ab awam ko Hujhoom dekh raha hai.
Awam ki aamad se ab sayahat ke shobay ko ek terhan se raahat mili hai kyunkay awam riyasat bhar mein maqbool maqamat par aa rahay hain. Covid ki wajah se taweel arsay tak apne gharon tak qaid rehne walay afraad ab tafrehi safar ke liye tayyar hain aur apne safar ka mansoobah bana rahay hain. Badalty halaat ko dekh kar Telangana tourism development cooperation ne sayaho ke zouq ke mutabiq package tayyar kiye hain.
Mehakma ne Hyderabad aur riyasat bhar mein tareekhi aur sayahati maqamat ke doray ke liye AC aur Non AC buses ka intizam kiya hai. Pehlay hi, Hyderabad, Nagarjuna Sagar . Srisailam nadi road kashti ke package 14 November ko dobarah shuru hue. Is ke mutabiq package tour subah 10 bajey nagarjuna sagar mein shuru hoga. Package ke ek hissay ke tor par sayaho ko bus se bator-e-hyderabad se Nagarjuna Sagar laya jayega, jahan woh Srisailam ki safar se lutaf andoz honge. wapsi ke safar mein sayaho ko bus ke zariye srisailam se hyderabad le jaya jayega. Package ke liye qeemat balighon ke liye 3050 rupay aur fi bacha 2450 rupay hai.
ek tarfa safar ke liye yani Nagarjuna Sagar se srisailam aur srisailam se Nagarjuna Sagar tak har baaligh fard 1000 rupay aur fi bacha 800 rupay hoga. mazeed tafseelaat ke liye, dilchaspi rakhnay walay afraad hyderabad mein reservation information counter se phone number par rabita kar saktay hain. Website www.tstdc. in ke zariye bhi online booking kiya jasakta hai.
Is ke alawa vikarabad zila ka ek mashhoor sayahati maqam Anantagiri ka hazaron sayah rukh kar rahay hain. woh log jo ekhtataam hafta ke douran sayahat aur tafreeh ka mansoobah rakhtay hain woh Anantagiri ka rukh kar rahay hain jo kay hyderabad se taqreeban 80 kilometer door fitrat ki khobsorat manazair ka intehai shandaar maqam hai. Anantagiri ka sayahati maqam Telangana ke chand mashhoor maqamat mein se ek hai kyunkay yeh shehar se qareeb hai aur maholiyati sayahat aur mazhab sayahat dono ke liye behtareen hai.