Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadTelangana mein Sadar Raj nafiz karne oppostion ka mutaliba

Telangana mein Sadar Raj nafiz karne oppostion ka mutaliba

Governor Narsimhan se Congress, Telugu Desham, CPI aur Telangana Jana samiti ke qaideen ki mulaqaat.

Hyderabad. Congress Party, Telugu Desham Party aur Communist Party Of India ney Telangana mein intekhabi ittehaad ka elaan kardiya hai aur mutaleba kiya ke intekhabi nataij tak Telangana riyasat mein Sadar Raj nafiz kiya jaye. Saddar Telangana Rashtriya Samiti o Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao ney Assembly tahleel karte huwe qabl az waqt intekhabaat ki raah hamwar ki hai. Governor Telangana & Andhra Pradesh Mr ESL Narsimhan ney Assembly tahleel karne Cabinet ki sifarish ko qubool karte huwe Mr. Chandrashekar Rao aur un ki Council of Ministers se riyasat ke umoor ki nigrani karne ki khwahish ki hai. Congress, Telugu Desham Party, Communist Party aur Telangana Jana Samiti ke qaideen ney aaj shaam Governor Mr. ESL Narsimhan se Raj Bhavan mein mulaqaat ki aur mutaleba kiya ke Telangana mein jahan Assembly tahleel kar di gayi hai intekhabaat ke ineqad tak Sadar Raj nafiz kardiya jaye. Party leaders ney kaha ke Mr. K Chandrashekar Rao ke Chief Minister barqarar rehtay huwe saaf o shafaaf intekhabaat ka ineqaad na mumkin hai. Telangana mein qabl az waqt intekhabaat thopne ki soorat mein hum Suprem Court se Rooju hon ge. Yaad rahay ke saal ke avaakhir mein Assembly intekhabaat ko yakeeni bananay Chief Minister Mr. K Chandrashekhar Rao ney Assembly ko tahleel kardiya tha. Unhen intekhabaat ke elaan tak kaarguzar Chief Minister muqarrar kiya gaya hai. Baad azan akhbaari numaindon se baat cheet karte huee Sadar Telangana Pradesh Congress Committee Captain Uttam Kumar Reddy ney kaha ke Mr. K Chandrashekar Rao ney Assembly tahleel kardainay ke baad Press Conference se khitaab karte huwe na sirf yeh kaha ke unhon ney Election Commission ke ohdedaron se baat cheet ki balkay yeh tak elaan kardiya ke November ke aakhir mein intekhabaat munaqqid honge aur Decemeber mein natayij ka elaan kardiya jaye ga. Unhon ney kaha ke Election Commission ki janib se intekhabi Schedule ko raazdari mein rakhna chahiye tha magar unhon ney sab kuch aashkaar kardiya. Congress ney Mr. K Chandrashekhar Rao ko BJP aur Wazeer e Azam Narendra Modi ka pittoo qarar dete huwe kaha ke Jaria saal intekhabaat munaqqid nahi kiye jasakte chunkay Electoral List par nazarsani ka kaam jari hai. Governor ko paish kardah mahezar mein Oppostion Partiyon ke leaders ney ilzaam aayed kiya ke Mr Chandrashekar Rao Iqtedaar ka ghalat faida utha rahe hain aur Assembly ki tahleel ke baad ghair qanooni aur ghair dastoori iqdamaat kar rahay hain. Mahezar mein kaarguzar hukoomat ki janib se teen mhazon par ki gayi mudakhilat ki nishandahi ki gai ke 12 musheeron ka taqarrur kiya gaya hai jis ki koi zaroorat nahi hai, nazam o nasq unhen ab bhi tankhwahin aur bhatta ada kar raha hai. Isi tarha mansoobeh bandi bordke arkaan bhi hukoomat ke ikhtiyarat ka istemaal kar rahay hain, Chand Arkaan e Assembly aur mukhtalif Corporations ke Sudoor ko Cabinet Rank diya gaya hai aur un mein se chand TRS ke ticket par muqaabla karne walay hain jo ghair qanooni aur ghair dastoori hai. Congress Party, intekhabi mafahmat ke liye Telugu Desham Party aur baen baazu party ke ilawa Telangana Jana Samiti se baat cheet kar rahi hai. Chief Minister Andhra Pradesh o Sadar Telugu Desham Mr. N Chandra Babu Naidu aur General Secretary CPI Mr. Sudhakar Reddy ke intekhabi mafahmat ka khairmaqdam karne ke baad hikmat e amli tayyar karne paanch rukni Monitoring Committee tashkeel di hai. Governor se mulaqaat karne walon mein Congress Party ke Captain Uttam Kumar, K Jana Reddy, DK Aruna, Sadar Telangana Jana Samiti Professor Kodandaram, Mr. Ravala Chandra Shekhar Rao aur deegar shaamil hain.