Friday, May 10, 2024
HomeJurmTelangana mein sadak hadsaat mein izafah hogaya

Telangana mein sadak hadsaat mein izafah hogaya

Hyderabad: Gumaan kiya jata hai ke wabai beemari corona jis ne lockdown par majboor kia tha jis sadkon par gadiyon ki tadaad kam hui aur iske nateejay mein sadak par traffic jaam ke mamlaat aur hadsaat bhi kam hogaye hain lekin iske bar-aks haqayiq kuch aur hi hain aur sadak hadsaat ki tadaad mein izafah ho raha hai. Har roz riyasat mein kam az kam 17 sadak hadsaat ki ittila mil rahi hai.

Hukoomat ne coronavirus ke phelao ko roknay ke liye lockdown nafiz kiya tha iske baad riyasat mein traffic hadsaat ke nateejay mein honay wali insani halakaton mein numaya kami waqay hui thi taham, lockdown ko khatam karne ke hukoomati faislay ke sath hi sadak hadsaat mein izafah hua hai.

Lock down ki pabandion ko aasaan karne ke baad bohat saaray public tansport ke istemaal se gorezan thay. iske bajaye unhon ne apni gadiyon mein safar karne ko tarjeeh di jiski wajah se woh sadkon par traffic ki amad o raft ka baais banay. mutaliqa ohdedaron ke mutabiq, tizarftari hadsaat ki awleen wajah hai jis-ke baad la -parwahi driving aur traffic ki khilaaf warzi ne marnay walon ki tadaad mein apna hissa ada kiya hai.

Agarchay mutaliqa mehakma ne riyasat mein sadkon par honay wali hadsaat ki rokkk thaam ke liye iqdamaat kiye hain lekin kuch motor sawaron ki qawaid ki Adam pabandi ke sabab amwaat ki tadaad mein izafah ho raha hai. haal hi mein Rajiv rahdahar par siddipet ke qareeb isi jagah par khofnaak judwan haadsay mein 5 afraad halaak aur mutadid zakhmi hue thay. pehlay haadsay mein rangeela dhaba ke maqam par car road divider se takra jane se 3 afraad halaak aur mutadid zakhmi hue.

yahan tak ke jab police ohdedar car mein phansay afraad ko nikaal rahay thay to DCM ne police ohdedaron aur imdadi karwaiyon mein masroof deegar afraad ko kuchal diya. 2 afraad mauqa par hi dam toad gaye aur inspector ashok aur do police ohdedar samait mutadid afraad ko shadeed chouten ayen.

Ek aur waqeye mein jab ek driver ne doosri gaari ko overtake karne ki koshish ki to is ke nateejay mein ek car ke saat afraad halaak hogaye jab ke chaar afraad zakhmi hogaye. Yeh haadsa hyderabad se taqreeban 50 kilometer daur hyderabad bijapur high way par shvila mandal mein malikpur gate ke qareeb paish aaya. hukkaam ke mutabiq, Greater hyderabad ke aas paas ke ilaqon mein riyasat mein sab se ziyada sadak hadsaat ki amwaat hui hain. Commissnerate ke lehaaz se, hyderabad ( 193 ), cyberabad ( 582 ) aur rachakonda ( 466 ) commisnerate mein amwaat ki sab se ziyada tadaad hai. yaad rahay ke 24 March se May ke pehlay haftay tak covid 19 virus ke phelao par qaboo panay ke liye lock down nafiz kiya gaya tha jiske nateejay mein riyasat mein sadak hadsaat mein numaya kami waqay hui hai.

April mein jab mukammal lock down nafiz tha to amwaat ke sath honay walay hadsaat mein 75 feesad kami waqay hui.

Police record ke mutabiq March 2020 mein 512 halakatain huien aur 1596 hadsaat mein 1,718 afraad zakhmi hue. police ohdedaron ne kaha hai ke sadak hadsaat mein wazeh kami lockdown ki wajah se hui thi. Logon ne ziyada tar khud ko sirf apne gharon tak hi mehdood kardiya lekin ab lock down ke usoolon mein narmi ke baad sadak ke hadsaat mein izafah dekha ja raha hai. ADG ( road safety ) ne kaha ziyada se ziyada 90 feesad mamlaat taiz raftaar ki wajah se hotay hain. Bohat se log apni bike ko ghaflat se chalate hain jis se hadsaat hotay hain. National high ways par kuch to 120 kilometer se ziyada ki raftaar bhi uboor karte hain. is raftaar se gaadi ko qaboo karna waqai mushkil ho jata hai.