Monday, April 21, 2025
HomeSliderTelangana mein Red Alert, 14 azlaa mein shadeed barish ka intibah

Telangana mein Red Alert, 14 azlaa mein shadeed barish ka intibah

Hyderabad: Guzashta chand dinon se Telangana mein musalsal halki aur taiz baarisho ka silsilha jari hai aur ab Hindustan ke mehakma mosmiyat ne Red Alert jari kiya hai aur is intibah mein mangal ko Telangana ke 14 azlaa mein shadeed barish ki pesh qiyaasi ki gayi hai. Apne intibah mein mosmyati mahireen ne kaha hai ke shadeed baarisho se azlaa ke bohat se nashebi ilaqon mein baday pemanay par selaab aur pani ki bharmaar hosakti hai. IMD ne kaha hai ke darakhton aur bijli ke khmbon ko jadd se ukhadnay ke ilawa aabi zakheeray beh jayen ge ya khatray ke nishaan tak pahonch jayen ge. IMD ke intibah mein kaha gaya hai is se azlaa ke kuch ilaqon mein kuch ghanton tak hatta ke kuch din tak aamad-o-raft mein khalal pad sakta hai. Zaraat ki zameenen doobi ja sakti hain aur faslun ke nuqsaan ki pesh qiyaasi ki ja sakti hai. IMD ke mutabiq, Siddipet, Janagan Pada Pali, Kareem nagar, Bhupalpally Warangal, Mehboobabad, Bhungir Suryapet azlaa mein selaab ki tawaqqa hai. Mangal ko Telangana ke baqi azlaa mein chand maqamat par bhaari se intehai mosla dhaar barish ka imkaan hai.

Pair ko riyasat mein intehai mosla dhaar barish hui. In shadeed baarisho ka asal sabab dabao hai jo 13 October ke awail mein Kakinada ke qareeb Narsapur aur Vishakhapatnam ke mabain Land Hall ka sabab bana hai. Is ke assar ke tehat mangal se jumaraat tak Telangana mein barish ki badhti hui sar garmion ki tawaqqa hai. TSDPS ke mutabiq paiir ko riyasat mein osat barish ka mamool 3.7 mili meter ke muqaabla mein 13.4 mili meter tha. Paiir ke rooz Kamareddy, Medak Jagtial, Sangareddy aur Gadwal azlaa mein intehai mosla dhaar barish hui.

Telangana hukoomat ne tamam zilai Collectors Police Commissioner aur Police Superintendent ko Red Alert rehne ke liye ek Advisory jari ki hai. State House ke Officers se District SP ko riyasat bhar mein aglay 3 din tak mosla dhaar barish ka intibah diya gaya hai. DGP ne tamam police Commissioner ko chokas rehne ki Appeal ki. Unhoun ne kaha ke tamam police Officers ko 24 ghantay Duty par rehna chahiye taakay awam ko koi takleef nah ho. DGP ne riyasat ke awam ko jahan bhi kisi qisam ki mushkilaat ka saamna karna padta hai woh 100 par Dial karne ko kahe. Yeh wazeh kiya gaya ke bunyadi tor par Dial 100 par anay wali tamam Calls ko uthaya jana chahiye aur tarjeeh ke sath hal kiya jana chahiye.