Saturday, May 18, 2024
HomeLatest NewsTelangana mein Online Classes taraqqi ki simt gamzan

Telangana mein Online Classes taraqqi ki simt gamzan

Hyderabad: Riyasat Telangana mein Corona ki wajah se is waqt taleem ko online kardiya gaya hai aur ibtida mein online classes ke mutaliq shak-o-shaba hat aur kayi masail ki khabrain samnay aa rahi theen lekin guzarte dinon ke sath ab Telangana mein online classes taraqqi ki simt gamzan hai.

Zilai satah ke hukkaam ki taraf se sakht nigrani aur mukhayyar hazraat, Ohdedaron aur razakaar tanzeemon ke zareya riyasat bhar ke pasmandah bachon ko imdaad faraham karne aur television siton aur smart phones ke atiyah karna online classes ko taraqqi dainay aur hosla afzai ka ek bohat bada zareya raha hai.

Is douran ek do bad qismati ke waqeat bhi pesh aaye hain jahan talba ney khudkushi is liye ki kyunkay woh online classes taq rasai haasil nahi kar sakay they kyunkay un ke walidain inhen smart phone kharedne ke muthammil nahi they ya khandan ke paas TV nahi tha lekin un chand waqeat se qata nazar baday pemanay par online classes mein talba ki shamoliat hosla afzaa hai.

Telangana hukoomat ki janib se kiye gaye amli iqdamaat ki badolat, Ohdedaron ke zareya baydaari peda karne ke sath TV aur Smartphone ke atiyah bhi online classes ki maqboliat mein ahem rule ada kiya hai . Zilai Collectors samait ohdedar mutadid azlaa mein ghareeb talba ko smartphone ka atiyah karte rahay hain aur jahan aisay talba ki nishandahi ki jati jin ke paas smart phone nahi hai to ohdedaron ne inhen smart phone ka atiyah diya hai.

Ahem baat yeh bhi hai ke un Gadgets tak rasai haasil karne walay talba neh pados ke doston ke sath apne asri alaat ka ishtiraaq karna shuru kardiya hai jis se online classes mein shirkat karne walay talba ki tadaad mein izafah honay laga hai. Is ke ilawa ohdedaron neh kuch maqamat par talba ko Hot spot se jodnay ki sahoolat bhi faraham ki jaissa ke zila Adilabad mein huwa jahan 5818 talba digital taleem tak rasai hui. Adilabad district education officer Ravinder Rdddy ke bamujab un talba ko walidain ki razamandi se ghar mein smart phone ya TV rakhnay walay dosray afraad ke sath group banaya gaya hai aur is terhan online classes mein talba group ki shakal mein bhi shirkat karne lagey hain jis ki wajah online classes ki maqboliat mein izafah aur taraqqi hui hai.