Wednesday, April 23, 2025
HomeSliderTelangana mein naya MV Act nafiz nahi Kiya jayega: KCR

Telangana mein naya MV Act nafiz nahi Kiya jayega: KCR

Hyderabad : Telangana hukoomat ne riyasat ke gaadi chalanay waloun ke liye khushi wo raahat ki khabar di hai. Wazeer-e-aala K.Chandra shekhar rao ne ek wazeh bayan diya hai ke reyasti hukoomat motor gadiyon se mutaliq cenral act ( MVAct ) aur traffic ki khilaaf wazion par bhaari challans aaed nahi karegi.

Awam ko bhaari Challans se honay wali mushkilaat se mutaliq KCR ne kaha ke reyasti hukoomat is muamlay mein khud hi ek act laayegi, magar is mein koi jaldi nahi hai.

Yaad rahay ke naye central act ka maqsad sadak hadsat ko kam karna hai, jis mein mukhtalif noiyat ki traffic ki khilaaf wazion par ghair mamooli tor par jurmane aaed karne ke liye faraham Kiya gaya tha.

Jo 1st September se nafiz Kiya gaya tha. aur it-tila-aat ke mutabiq gadiyon par lakhoun rupiyon ka jurmana aaed Kiya ja raha tha. 2 wheelers wali gaadi chalanay walon sameit deegar gadiyon ke driveron ko police ki janib se diye gaye challans ka naya record ban raha tha aur log is par sakht mushtael ho rahay they. –YTN STAFF