Sunday, April 20, 2025
HomeSliderTelangana mein mausam garma shadeed honay ka imkaan

Telangana mein mausam garma shadeed honay ka imkaan

Hyderabad: Mausam garma jo pehlay hi kaafi sakht hochuka hai is mein mazeed izafah ka imkaan hai. Riyasat ki mukhtalif jaghoun par garmi ki lehar mutawaqqa honay ke sath hi is ki haalat batter honay wali hai.
Ilaqai mosmiyati markaz, Hyderabad ke mutabiq May ke pehlay haftay se riyasat mein garmi ki lehar ghalib rehne ka imkaan tha, Darjaa hararat 45 Degree Centigrade aur 47 Degree Centigrade ke darmain rahay ga.

Garmi ki lehar is waqt hoti hai jab mamool se ziyada darjaa hararat mein 4.5 Degree silsis se 6.5 Degree Centigrade ka izafah hota hai. Agar darjaa hararat 47 Degree Centigrade se tajawaz karta hai to garmi ki lehroun ko shadeed qarar diya jata hai. Ilaqai mosmyati markaz ke Science daan aur Head Dr ke Naggha Ratna ne kaha ke Karimnagar, Khammam, Adilabad aur Nalgunda jaisay azlaa mein garmi ki lehroun ka khatrah sab se ziyada hai.

Unhoun ne kaha riyasat mein garmi ki lehar ke mamool se thoda sa oopar rehne ka imkaan hai. Mehakma mosmiyat ke adaad o shumaar ke mutabiq, Guzashta saal riyasat mein garmi ki lehar ke 44 din rahi thi. Hyderabad aur Ranga Reddy mein ek din ziyada garmi ki lehar rahi, Jabkay Medchal Malgajkiri mein 3 din tak isi terhan ki sorat e haal rahi. hukkaam ne logoun ko garmi ki lehroun garam mausam ko sanjeedgi se lena aur hifazati iqdamaat ko yakeeni bananay ka mashwara diya.

Ohdedaroun ne kaha ke garmi ki laharen khamosh qaatil hain aur koi bhi is ke asraat ki pesh goi nahi karsaktha jab tak ke wo Sooraj ke maar se mutasir nah ho. Riyasat ka sab se ziyada darjaa hararat Bhadrachalam mein 1973 mein 48.6 Degree Centigrade Record kiya gaya tha jabkay Hyderabad mein 1966 mein is ka sab se ziyada darjaa hararat 45.5 Degree Centigrade Record kiya gaya.

Darin asna, Telangana State Development Planning Society ke mutabiq shehar ke kuch hissoun mein darjaa hararat 40 Degree Centigrade tak raha, Jabkay Jagtial, Nalgonda, Karemnagar, Suryapet aur Adilabad jaisay azlaa mein darjaa hararat 41 Degree Centigrade Record kiya gaya. –YTN STAFF