Hyderabad: Riyasat mein coronavirus ke phelao ke chaltay dasvin jamaat ke emtehanat ka ineqad mumkin nah hopane ki binaa par wazeer e aala ne dasvin jamaat ke talba ko aala jamaatoun ke liye Promote karnika faisla kiya hai. Wazeer e aala janab K Chandrashekhar Rao ne aaj yahan Pragati Bhavn mein mulk aur riyasat mein coronavirus ke phelao ke pesh e nazar dasvin jamaat ke emtehanat ke ineqad ke barey mein ek aala sathi jaiza ijlaas munaqqid kiya. Mazkoorah ijlaas mein wazeer e taleem Shrimati Subita Indra Reddy , Chief secretary Sumesh Kumar, Special Chief secretary baraye taleem Chitra Ramachandran, Principal secretary S Narsing Rao, Director board of secondary education Shary Satynarayan Reddy, Special secretary CMO shary Rajsekhar, OSD CM Deshapathy Srinivas, CM secretary Bhoopal Reddy o deegar ne shirkat ki.
Riyasat mein saal haal dasvin jamaat ke talba ki jumla tadaad 5,34,903 hai. Dasvin jamaat ke jumla mazameen ki tadaad 6 hai jis ke liye 11 papers par mushtamil emtehanat munaqqid kiye jatay hain jin mein se 2 mazameen ke 3 papers par mushtamil emtehanat ka peshtar hi ineqad amal mein laya ja juka tha. Aisay mein reyasti hukoomat ney high court ki janib se jari kardah ehkamaat ke pesh e nazar dasvin jamaat ke emtehanat multawi kardiye they. Un multawi kardah emtehanat se mutaliq faisla lainay ke liye wazeer e aala ne aaj yahan ek aala sathi jaiza ijlaas munaqqid kiya tha. Mazkoorah ijlaas mein dasvin jamaat ke emtehanat se mutaliq mulk bhar mein mukhtalif reyastoun ki janib se ikhtiyar kardah tareeqakar ka jaiza liya gaya aur riyasat Telangana mein kiya hikmat e amli ikhtiyar ki jani chahiye is par tafseeli tor par tabadlah khayaal kiya gaya aur riyasat mein ikhtiyar ki jani wali hikmat e amli ko hatmi shakal di gayi.
Wazeer e aala ney elaan kiya keh talba ko apne school mein munaqqid shadni Internal Assessment Test mein haasil kardah nishanaat ki asaas par aala jamaatoun mein taraqqi di jaegi. Mazeed ye ke mustaqbil mein riyasat ko darpaish sorat e haal ka jaiza letay huve Degree, PG aur deegar emtehanat ke ineqad se mutaliq faisla liya jaega.