Sunday, May 19, 2024
HomeSliderTelangana mein khawateen commission tashkeel dediya gaya, Shaheena Afroz arkaan mein shaamil

Telangana mein khawateen commission tashkeel dediya gaya, Shaheena Afroz arkaan mein shaamil

Hyderabad: Telangana reyasti hukoomat ne baqaida tor par taweel iltiwa Pazeer Telangana State Women commission tashkeel di, jis mein vakiti sunita lakshma reddy ko panel ki pehli chair person muqarrar kiya gaya. Alawa azeen commission ke deegar arkaan mein Shaheena Afroz, kumara eshwari bhai kommu uma devi yadav Gaddala Padma Sudham Laxmi katari revathi rao  shaamil hain.

Nai chair person Lakshma Reddy Medak zila ke sabiq congress rehnuma hain. Woh Ys Raj shekhar Reddy , K Rosaiah aur kiran kumar Reddy ki zair-e-qiyadat congress hukoomaton mein wazeer theen. Unhon ne April 2019 mein congress ko khaer bad kehnay ke baad TRS mein shaamil hui. ghair munqasim AP ke tehat pehlay state women commission ki tashkeel June 2013 mein ki gayi thi jis mein venkatraanam ki chair person thi. AP tanzeem no act 2014 ke section 75 ke mutabiq khawateen commission schedule act ke tehat aur Telangana mein waqay ho is liye ab yeh riyasat Telangana mein muntaqil hogaya hai, taham, July 2018 mein venkataratan ba ke okda daftar khaali pada tha aur ab kam o besh dhai saal se yeh commission Telangana mein ghair fa-aal raha.

Reyasti khawateen commission ke taqarrur mein reyasti hukoomat ki la-parwahi ke khilaaf Telangana high court mein mutadid darkhwasten dair ki gayeen theen. 2 decemeber ko Telangana high court ne chair person ke taqarrur mein nakami par reyasti hukoomat ke khilaaf muaqqaf ikhtiyargi tha. Adalat ne reyasti hukoomat ko is saal ke aakhir tak is ohday ko pur karne ka ek aur mauqa fraham kiya tha. High Court ke division bench ne hukoomat ko mutnabba kiya ke agar woh 31 decemeber tak aisa nahi karti hai to woh chief secretary ko wazahat ke liye talabb kare kiya jayega jiske baad aur is muqadma ko 4 January tak multawi kardiya gaya.