Tuesday, April 30, 2024
HomeHyderabadTelangana mein intekhabat - Election Machinery tayyar

Telangana mein intekhabat – Election Machinery tayyar

Hyderabad. Deputy Chief Commissioner, Election Commission Of India Mr. Umesh Sinha ney aaj kaha ke Telangana mein intekhabaat ki tayyariyan sahih khutoot par jari hain aur aayndah intekhabaat mein har ahal voter ko Vote ka haq haasil honay ko yakeeni bananey ohdedar har ghar pohnchain ge. Chief Electoral Officer aur Telangana mein District Election Officers, Election ke liye achi tarha tayyar hain aur Election Commission Schedule jari kere ga. Telangana Assembly ki tahleel ke baad Mulk ki chaar riyaston ke sath Telangana mein bhi intekhabaat ke ineqad ka jaayiza lainay Election Commission of India ney Telangana ko aik Team Deputy Election Commissioner Mr. Umesh Sinha ki qayadat mein rawana kiya tha jis ney recognized political parties ke leaders aur District Collector aur Superintendent of Police ke alawa Election Commission ke ohdedaron se mulakaatein ki aur intekhabat ki tayarion ka mukhtalif paheloun se jaayiza liya. Apne do roza daura ke baad Secretriat mein apni team aur Chief Electoral Officer Telangana Mr Arjit Kumar ke sath akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe Mr. Umesh Sinha ney kaha ke voters ke naamon ki shumoliat se mutaliq siyasi partiyon ki janib se uthaye gaye tamam umoor ki yaksovi karne ki hidaayat di gayi hai. Unhon ney bataya ke riyasati Assembly 6th September ko tahleel kar di gayi thi aur Election Commission se aajilana intekhabaat ki khwahish ki gayi thi is liye hum soorat e haal ka jaiza lainay aur intekhabaat ki taiyarion ke baray mein aagahi haasil karne Telangana ka daura kiya. Unhon ney bataya ke team ke Delhi pahonchnay ke baad report Election Commission of India ko paish kar di jaye gi. Election Commission hi Telangana mein intekhabat ka faisla kere ga aur taareekh ka elaan kere ga. Unhon ney kaha ke siyasi partiyon ki janib se paish kardah khayalat aur khadshaat ko note kiya gaya hai aur intekhabi schedule ke baaray mein faisla karne hum apni report paish karen ge. Zilayi ohdedaron ko hidayat di gayi hai ke androon do haftay har eligible voter ko mauqa faraham kiya jaye aur ghaltion ki islaah ki jaye aur jin ahal raye dahinde ke naam hazaf kar diye gaye hain un ke naamon ki shumoliat ko yakeeni banaya jaye. Election Commission ki team ney pahelay din siyasi partiyon ke numayindon ke sath mulaqaat ki aur un ki aaraa haasil ki. Beshtar siyasi partiyon ney paishgi intekhabaat ki mukhalifat ki. Team ney azlaa mein intekhabaat ki taiyarion ka bhi jaiza liya. Tawaqqu ki jarahi hai ke team ki report daakhil kardainay ke baad mukhtalif paheloun ka jayiza letay huwe Election Commission of India October ke dosray haftay mein elamia jari karsaktha hai aur November ke avaakhir mein polling hosakti hai jaissa ke karguzaar Chief Minister Mr. K Chandrashekar Rao ney tawaqqu zahir ki thi. Chief Electoral Officer Mr. Ajit Kumar ney kaha ke markazi team ney Chief Secretary Dr. S.K Joshi aur Secretary mehakuma dakhila aur intekhabaat ki taiyarion se munsalik deegar aala ohdedaron se mulaqaat ki. Unhon ney kaha ke riyasat mein Election Machinery, Eelection Commission ki hidaayat par schedule ke mutabiq intekhabaat karwanay tayyar hai.