Wednesday, April 24, 2024
HomeIndiaTelangana mein Hyderabad sab se zyada Dengue se mutasir

Telangana mein Hyderabad sab se zyada Dengue se mutasir

Hyderabad: Chief Minister KCR ki sadarat mein Telangana mein corona aur mausami beemariyon ki surat e haal par jaiza lene wale ijlas ki tafseelat dete Huwe riyasati director public health director G Srinivas Rao ne kaha ke malaria ke zyada tar mamlaat kothagudam aur mologo mein darj hain unho ne kaha ke 2019 mein dengue ke taqreeban 4 hazar mamle report huwe aur is saal 10 September tak riyasat mein Dengue se mutasir afraad ki tedaad 3 hazar tak pohunch gayi hain.

Haaliya barson mein virul fever mein bhi izaafa huwa hai. Unho ne kaha ke October ke aakhir tak mamooli kami ka imkaan hain. DPH ne kaha ke riyasat bhar mein tibbi khidmat ki farahami ke liye iqdamat kiye gaye hain. Agar lates ki tetaad kam ho jaati hai toh awaam khangi dawaqano ki taraf daud rahe hai jo hazaron rupiye kharch karwa rahe hai
DPH ne kaha ke sarkari dawaqane itne hi muassar hain. Telangana ke muhkama sehat ko shikayat mausool huwi hai ke kuch khangi dawaqano ne Dengue ke liye gair zaroori ilaaj muhayya kiya hain. Jaise plate lates dalna jab tetaad khatarnak had tak nahi girti hain. Srinivas rao ne kaha ke in shikayat par gaur kiya ja raha hai.

Is baat ko tasleem karte huwe ke qawaneen ko mazboot banana hai DPH ne dawaqano se darqast ki ke woh ek ache tareeqe se kaam karein. Is baat ka mushahida karte huwe ke covid 19 teesri lehar sirf is soorat mein ho sakti hai jab ek naya aur mazboot roop samne aaye u unho ne kaha ke riyasat mein ab tak taqreeban 2 corore vaccines ki khuraqe di ja chuki hain. DPH ne kaha hai ke taqreeban 54 lacks logon ko dono khuraqe di gayi hain.

Agar koe teesri lehar aati hai toh yeh tab hi mumkin hoga jab ek nayi khisam woh bhi ek mazboot khisam ka virus ubre lehaza agar 3 maah qabl jaisi soorat e haal paida na ho aur behtar halaat aage badhe toh hame lazmi taur par teeka lena chahiye tab hi hum covid teesri lehar ya nayi aqsaam se bacha sakte hain..note karte huwe ke riyasat mein 49 feesad log jo bunyadi taur par dehi aur neem shehri ilaqon ke rihayesh hain unko ek khuraaq bhi nahi mili sriniwas rao ne kaha ke chief minister KCR ne hidayat di hain ke ek qusoosi vaccinetion muhim chalayi jaye.. virus ke phailao ko rokne aur sangeen bimari ko rokne mein teeka andazi muassar sabit huwi hai.