Friday, May 17, 2024
HomeSliderTelangana mein garmi urooj par, darja-e-hararat 47 degree tak record honay laga

Telangana mein garmi urooj par, darja-e-hararat 47 degree tak record honay laga

Hyderabad: Telangana mein garmi ki shadeed lehar jari hai jahan mausam garma apne urooj par hai aur kayi maqamat par darjah hararat taqreeban 47 centigrade record kiya gaya hai.

Mehakma mosmiyat ke mutatbiq din ke darjah hararat mein mazeed izafah ho sakta hai kyunkay riyasat ke kayi maqamat par darjah hararat 42 degree celcius darj kiya gaya hai. doosri taraf raat ke darjah hararat mein kami waqay hui hai.

Riyasat ke azlaa Khammam, Nirmal, jai Shankar bhopal pally, Peddapall, Nalgonda  aur deegar maqamat par darjah hararat taqreeban 47 degree celcius darj kiya gaya kyunkay un ilaaqon mein darjah hararat 46. 6 darj hua hai. azlaa ke alawa riyasat ke mukhtalif maqamat par shadeed garmi ki lehar dekhi jarahi hai. garmi se bachney ke liye log mukhtalif tadabeer ikhtiyar kar rahay hain. dopehar ke waqt sadkon par traffic mein kami dekhi jarahi hai.

Water coolers, air collers ke alawa thanday mashrobat ki farokht mein bhi kaafi izafah hogaya hai. Drs ne chhote bachoun aur zaeef afraad ko mashwara diya hai ke wo gharoun mein hi rahen. awam ke Muttabiq guzashta barson ke muqablay is martaba garmi kaafi hai. subah 9 bajey se hi shadeed garmi ka aaghaz ho raha hai jo dopehar mein apne urooj par dekhi jarahi hai. thanday mashrobat ke sath ORSL ki ke packs wo deegar mashrooba ki farokht bhi badh gayi hai. Drs ne awam ko mashwara diya hai ke woh shadeed dhoop mein bahar na niklein. alawa azeen subah 10 bajey taa shaam 5 bajey ke darmiyan safar karne se bhi mana kiya gaya hai taham lock down ki tehdidat ki wajah se awam dhoop mein safar karne par majaboor hain. –YTN STAFF