Hyderabad: Telangana Congress legislator Party Mallu Bhatti Vikramarka ne ilzaam lagaya hai ke Telangana mein sorat-e-haal afsoosnaak hai aur Daliton par hamlon ke waqeat mein izafah hota ja raha hai. Unhoun ne police sarbarah par nuqta cheeni karte hue daawa kiya ke Daliton par hamlon ke silsila mein DGP se ki gayi shikayaat par koi rad-e-amal haasil nahi ho raha hai. Unhoun ne kaha ke wo Daliton par hamlon ke waqeat ki shikayat Governor se karen ge.
Riyasat mein coronavirus ke mamlaat ke silsila mein media se baat cheet ke douran unhoun ne kaha kay KCR ki zir-e-qayadat TRS hukoomat riyasat mein coronavirus ko rokne mein nakaam rahi aur hukoomat ki la parwahi ke nateeja mein corona ke mamlaat Towns se mawazat tak poanch gaye. Hukoomat ko is masla ki koi parwah nahi hai kyunkay is ne maazi mein is terhan ki sorat-e-haal ka kabhi bhi saamna nahi kiya.
Congress leader ney kaha ke unhoun ney aisi hukoomat nahi dekhi jis ney sahet aama ke masail ko is terhan nazar andaaz kiya hai. Unhoun ney congress ke leaders ko paband karne ke liye markaz ke rehnumaiyana khutoot ke istemaal kaalzam bhi lagaya aur kaha kay hukoomat AP ney Srisalam Barrage se rozana 11 TMC pani ko lift karne ke liye GO jari kiya taham Chandrashekhar Rao hukoomat ney is par koi rad-e-amal zahir nahi kiya. Unhoun ney kaha ke Potireddy Padu Project ka tender marhala is mah ki 20 tareekh ko mukammal karliya jaye ga aur wazeer-e-aala Apex committee ke ijlaas ko nazar andaz karre he hai.