Monday, May 6, 2024
HomeSliderTelangana mein Covid Vaccine pehlay ghareebon ko faraham ki jayega

Telangana mein Covid Vaccine pehlay ghareebon ko faraham ki jayega

Hyderabad: Ab jabkay duniya Covid Vaccine ke liye Hyderabad ki taraf dekh rahi hai to Telangana ke ghareebon ko pehlay yeh vaccine faraham ki jaye gi. Yeh taqseem ke liye marhala waar aur halqon ke mansoobon ke mutabiq hai jo virus ke zareya ghair mutanasib tor par mutasirah abadi tak pounchanay ke zaroori maqsad aur Infection aur sangeen bemari ka sab se ziyada khatrah honay walay logoun tak pounchanay mein pehal kere ga. Markazi wizarat sehat aur khandani behbood ne reyaston ko mashwara diya hai ke woh abadi walay tarjeehi groups ko shaamil karen jo pehlay Vaccine wusool karne walay Group mein shaamil hon ge aur October ke aakhir tak apni fehristen pesh karen ge.

Telangana hukoomat kachi abadiyon mein rehne walay logon ko sab se pehlay tarjeeh day gi Wazeer sehat Etala Rajender ne kaha it-tila-aat hain ke koi Covid Vaccine June ya July mein aajay gi lekin is ki bunyaad par hum mansoobah banayen ge. Ghareeb logon khusoosan kachi abadiyon mein rehne walay aur rozana mazdoori karne walay afraad ko pehli tarjeeh di jaye gi. Jabkay markaz mein ek aala satah ka maahir Group Vaccine ke tamam pehluo par ghhor kar raha hai, Wizarat sehat ek aisa Format tayyar kar rahi hai jis mein reastain tarjeehi abadi walay groups ki fihristen pesh karen gi. Tarjeehi abadi se morad woh afraad hotay hain jo doosron ke muqablay mein virus se ziyada khatrah rakhtay hain.

Telangana mehakma sehat ek Committee tashkeel day ga aur is ki bunyaad par mulk aur duniya mein kahin aur kiya ho raha hai, Aur mutaliqa rehnuma khutoot ke mutabiq, Tarjeehi groups ka taayun kiya jaye ga. Markaz ke mutabiq, July 2021 tak mulk Covid-19 Vaccine ki 40-50 crore khoraak mil jaye ga. Taham markazi wazeer Dr Harsh Vardhan ne pehlay kaha tha ke pehlay marhalay mein un afraad ki tarjeehi fehrist mein sarkari aur khangi shobay mein Frontline Health Care Workers ko shaamil kiya jaye ga. Jin mein Doctors, Nurses, Paramedics, Class chaharum ke mulazimeen, Field level amlah shaamil hain.