Hyderabad: Telangana mein Corona se sehat yabi ki sharah 84 feesad se tajawaz kar gayi kyunkay riyasat mein ek baar phir naye misbet waqeat ki rozana ginti se ziyada sehat yabi ki ittila masool hui hai. Pichlle 24 ghanton ke douran Telangana mein Corona se majmoi tor par 2243 afraad sehat yab hue hain, Ab tak sehat yab honay walay afraad ki kul tadaad 193360 hogayi hai.
Is ke sath hi riyasat ki sehat yab ki sharah qaumi ost 83.27 feesad ke muqablay mein 84.08 feesad hogayi. Mazeed Telangana mein gayarah afraad corona se dam toad gaye. Jis se halakaton ki tadaad 1127 kar di. Riyasat mein amwaat ki sharah qaumi ost 1.57 feesad ke muqablay mein 0.58 feesad hai. Taaza misbet waqeat ke sath riyasat mein mareezon ki tadaad 1386911 hogayi jin mein se 29326 fa-aal mareez hain.
Taaza tareen mamlaat mein se 298 Greater Hyderabad mein Record kiye gaye. Musalsal chouthay din riyasat ke dar-ul-hukoomat mein 300 se kam mareez dekhnay mein aaye. Zila Medchal Malkajgiri mein sab se ziyada tadaad 176 record ki gayi is ke baad Rangareddy ( 172 ), Nalgunda ( 141 ), karimnagar ( 103 ), khammam ( 93 ), Siddipet ( 92 ) aur Warangal Urban ( 85 ) Record hue hain. Government ke zair-e-intizam chalne wali 17 Laboratories, 43 khangi laboratories aur 1076 Rapid Antigen Test marakaz ne guzashta 24 ghanton ke douran 8 bajey khatam honay walay 55359 test kiye. Director Public Health and Family Welfare ke daftar se jari media Bulletin ke mutabiq, fi lakh abadi ke test kiye gaye namoonay mazeed behtar ho kar 80494 ho gaye. Aalmi idaara sehat ( WHO ) ke mutabiq riyasat ke liye rozana jaanch ka hadaf 5600 hai jo 140 yomiya fi din hai.