Thursday, May 16, 2024
HomeLatest NewsTelangana mein Corona mareezon ki sahet yabi itminan bakhash

Telangana mein Corona mareezon ki sahet yabi itminan bakhash

Hyderabad: Telangana mein ek janib jahan corona se mutasir honay walay afraad ki tadaad mein izafah dekha ja raha hai to doosri janib wabai marz se sahet yab honay walay afraad ki tadaad bhi itminan bakhash hai. Guzashta haftay ke douran Telangana mein 1.24 lakh afraad aisay Record hue jo ke Corona se sahet yab hue hain jabkay mulk bhar mein itwaar tak 37 lakh afraad sahet yab hue hain.

Alawa azeen markazi wazeer-e-dakhla Amit Shah ke muamlay ki terhan chand misalein bhi mojood hain jaha sahihat yab afraad sahet se mutaliq paichidgiyan peda honay ke baad dobarah dawakhane se rujoo hue hain. Wizarat sahet-o-khandani behbood ney kaha hai ke corona se sahet yabi ke baad mareez thakawat, Jism mein dard, Khansi, Gilaay ki soozish, Saans lainay mein dushwari waghera samait mukhtalif masail ki shikayat karta hai. Covid se wabasta tamam mareezon ki dekh bhaal aur falah-o-behbood ke liye jamia nuqta nazar ki zaroorat hai taakay sehat yab afraad ko bhi is waba se dobarah mutasir honay se mehfooz rakha jasakay.

Wizarat sahet ne sahet yab afraad ko intahi ahthyat baratnay aur hifazati tadabeer ko behtar bananay aur sahet mand tarz zindagi guzaarnay ke liye ahteyati tadabeer ikhtiyar karne ki sifarish ki hai. Riyasat ke aala sahet aama ke ohdedaron ne yeh bhi mashwara diya hai ke Covid-19 se sahet yab honay ke baad afraad ko intahi mohtaat rehna chahiye.

Sahet yab honay walay afraad ko bunyadi sahet par tavajja dainee hogi jis ka matlab hai ke Dr ke zareya di gayi dawaon ko istemaal karne ke ilawa, Mamooli lekin pabandi ke sath rozana werzish karna, Yoga karne ke ilawa mutawazan ghiza apnaa naa hoga. Alawa azeen dawakhane se ghar lotney walay corona ke mareezon ko sahet ke aala ohdedar aur wizarat neh mashwara diya hai ke woh apne corona tajarbaat doston aur rishta daaron ke sath banten taakay un mein bhi baydaari peda hosakay aur khadshaat aur vahm ko daur kiya jasakay.